Write-Up
Al ajal
Aaye kaba se sada, hayya ala khayril amal
Al ajal ay waaris e khoon e shaheedaan al ajal
Ay Yusuf e Zahra x4
Zameen e Karbala walay tujhe aawaaz detey hain
Bahatar be kafan lasshe x2 Tujhe aawaz detey hain
1) Hain kahin ganj e shaheeda, mein rakhi gathri koyi x2
Kisi ki laash ke tukre x2 Tujhe aawaaz detey hain
2) Chalte naaqe se girey jo, maaon ki aaghosh se x2
Wo saare be zabaan bache x2 Tujhe aawaaz detey hain
3) Tishnagi aakar Sakina, aur Asghar ki bujhaa x2
Na jaane kab se wo pyaase x2 Tujhe aawaaz detey hain
4) Al ajal kehti hai jhoole, ki sulagti lakriyaan
Kahin jalte huwe khaime x2 Tujhe aawaaz detey hain
5)Unki mazloomi musayyab, ki zameen se poochle
Wo do bache Ruqaiyya ke, tujhe aawaaz detey hain
6) Jalte khaimon se bacha kar laayi jo Sajjad ko x2
Ussi ke paaon ke chaale x2 Tujhe aawaaz detey hain
7) Jo shaheedaan e wila e Murtaza hain aaj bhi x2
Kafan baandhe huwe sar se x2 Tujhe aawaaz detey hain
8) Halqa e matam mein aakar, ay Takallum maatami
Tujhe aawaaz detey the x2 Tujhe aawaaz detey hain
Ay Yusuf e Zahra
Zameen e Karbala Walay tujhe aawaaz detey hain