Dekha Jab Baap Ka Lasha
speaker_notes
Write-Up
Dekha jab baap ka laasha, to Sakina royi
Shimr ne maara jo durra x2 to Sakina royi
1) Na mila paani usse, aag bujhaane ke liye x2
Jal gaya bhaayi ka jhoola x2 to Sakina royi
2) Or kar sar pe rida, kaan mein dur pehne huwe x2
Saamne aayi jo Ramla, to Sakina royi
3) Maar kar Sayed e Mazloom ke honton pe chari x2
Jab hassaa haakim e Kufa x2 to Sakina royi
4) Kya Sakina ho tumhi, itna bataado Bibi x2
Hind ne aake jo poocha, to Sakina royi
5) Chaahti thi, ke wo le aaye usse khaime mein x2
Baap ka laasha na utha x2 to Sakina royi
6) Qaid mein sunte huwe, baap ke sar se lori x2
Zakhmi honton ko jo dekha, to Sakina royi
7) Mir Sajjad, wo naaqe se giri royi nahin x2
Aake daadi ne uthaya x2 to Sakina royi
Dekha jab baap ka laasha to Sakina royi
format_list_bulleted
More From This Album
1
Abbas Tera Haq Hai Zamana
2
Chacha Mai Aap Ki Turbat
3
Dekha Jab Baap Ka Lasha
4
Khuda Khair Karay
5
Safar Phuphiyan De Paishi Wich
6
Sakina Ki Yeh Aati Thi Sada
7
Shaam Haye Shaam
8
Shaam Walon Ali Di Dhi Haan Main
9
Teeron Kay Musallay Par
10
Ya Fatima Rida Mein Chupa Lo Hussain Ko
11
Zakhm-e-Akbar Per Laila Rida
12
Zameen-e-Karbala Walay