Write-Up
Abbas Abbas Abbas
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye
Jab shaam o sahar, Fatima Zahra tujhe roye
1) Durra liye pehre pe, sitamgaar khara hai
Kaise tere laashe pe, Sakina tujhe roye
2) Jis waqt uthaya na, gaya laasha jawaan ka
Sheh us ghari Akbar se ziyada tujhe roye
3) Zainab ne kaha shaam e, ghareebaan mein ay Ghazi
Be parda mujhe dekh ke, baba tujhe roye
4) Sajde ke liye jab liya haathon ka sahara
Sajjad musalle pe hamesha, tujhe roye
5) Bin haathon ke kis tarha, tu ghore se gira tha
Yeh sun ke bohot ehl e Madina tujhe roye
6) Mashkiza kahin jism, kahin haath kahin hai
Jaa jaa ke kahan Fatima Zahra tujhe roye
7) Armaan Sakina ka, tha jitna tujhe roti
Sajjad teri qabr pe utna tujhe roye
8) Hashim ke qamar kyu na, tera chaahne waala
Washams ka parhte huwe surah tujhe roye
9) Hasrat hai ke Ghazi ho, lahu aankh se jaari
Yeh 'Mir Takallum' kabhi, aysa tujhe roye
Abbas tera haq hai, zamana tujhe roye