Write-Up
Haye Chacha Abbas
Jab dafn karne aaye, tan paash paash ko
Abid pukare dekh ke, Ghazi ki laash ko
Chacha main aap ki turbat, banaane aaya hoon
Sakina ab bhi hai pyaasi, bataane aaya hoon
1) Bataaoon kaise chacha kya, guzar gayi hum par
Har aik shehr mein maare, gaye hume pathar
Thi maayein phuphiyaan mere saath, ay Ali ke pisar
Yeh saare zulm ke qisse, sunaane aaya hoon
2) Haram ko chor ke Kufe se aa raha hoon chacha
Bataa gaye hain tumhari waseeyatein baba
Wahin ho qabr chida tha, jahan pe mashkiza
Kiya tha Sheh se jo wada, nibhaane aaya hoon
3) Hai teen roz se laashe, pe dhoop ka saaya
yeh haal dekh ke rota hai, khoon dil mera
Ghareeb hoon main kafan tum ko deh nahin sakta
Tumhari laash ke tukre, uthaane aaya hoon
4) Sakina raah mein naaqe se gir gayi thi abhi
wahin hain taazaa riwayat, kamar pe likhi huwi
Hai jaari khoon jo is waqt, eriyon se meri
Layeen se khaake, abhi taaziyaane aaya hoon
5) Tumhare saamne aati hai, sharm kehte huwe
Yeh baat karta bhala kaise, saamne unke
Abhi hai door yahan se, Bani Asad waale
Phupi ki chin gayi chaadar, batana aaya hoon
6) Layeen ne bachi ke gohar, ko ayse cheena tha
Giri zameen pe Sakina, main khoon rota tha
Wo jis zameen pe kaanon se, khoon tapka tha
Wo khaak rakhne tumhare, sirhaane aaya hoon
7) Bagher inke tum utre, the zeen se kaise
Haram to lut gaye yeh baazu, kat gaye jab se
Pare the door yeh laashe se, aap ke kab se
Kate yeh baazu badan se, milaane aaya hoon
8) Bana ke qabr Takallum wo bola ro ro kar
Yahan pe aayenge ab, zaaireen shaam o sahar
Jale khayaam ki rakh kar, lahad pe khaak magar
Main pehla farsh e aza ka, bichaane aaya hoon
Chacha main aap ki turbat banane aaya hoon