Write-Up
Khuda khair karay
Bint e Zahra ka khula sar hai, Khuda khair karay
Aur har haath mein pathar hai, Khuda khair karay
Bint e Zahra ka khula sar hai, Khuda khair karay
1) Hur ke betay pe hi Shabbir bohot roye thay x2
Ab to laash e Ali Akbar hai, Khuda khair karay
2) Maarte hain wahan naizon ko, zameen par zaalim x2
Dafn jis gaah Ali Asghar hai, Khuda khair karay
3) Kuch qadam door khari dekh, rahi hai Zainab x2
Shimr ke haath mein khanjar hai, Khuda khair karay
4) Chonk kar khaak se kehti thi, watan mein Sughra x2
Kissi mushkil mein mera ghar hai, Khuda Khair karay
5) Peeche deewaar hai aur jalta hua dar aage x2
Beech mein bint e Payambar hai, Khuda khair karay
6) Be rida jaana hai Zainab ko, wahan par ke jahaan x2
Har koyi dushman e Haidar hai, Khuda khair karay
7) Hai chari haath mein zaalim ke, labo par hai hassi x2
Tasht mein Sheh ka rakha sar hai, Khuda khair karay
8) Mir Sajjad yeh Sheereen ne, kaha rote huwe x2
Jis ki naize pe yeh chaadar hai, Khuda khair karay
Binte Zahra ka khula sar hai, Khuda khair karay
Khuda khair karay