Ya Fatima Rida Mein Chupa Lo Hussain Ko

Write-Up
Ya Ghareeb, Ya Hussain
Haye Ghareeb, Haye Hussain
Maqtal mein gir raha hai x2 Sambhaalo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chupaalo Hussain ko
1) Paiwast hai ghareeb ke, pehlu mein barchiyaan
Tum ko uthne deti, nahin tooti pasliyaan
Lekar Ali ka naam x2 Uthaalo Hussain ko
2) Deewar o dar ke beech jo, armaan reh gaye
Rakhi huwi thi dil mein jo, Mohsin ke waaste
Wo loriyaan bhi aaj x2 Sunaalo Hussain ko
3) Solaa peher ki pyaas hai, aur hai labon pe dum
Dekar ghareeb betey ko, Abbas ki qasam
Paani agar miley to x2 Pilaalo Hussain ko
4) Sheh ki ghareeb beti ke, armaan ki tarha
Godi mein lekey teesri Shabaan ki tarha
Kuch der ho sake to x2 Sulaalo Hussain ko
5) Haidar tarap rahe hain, Payambar hai be qaraar
Tum kaise sun rahi ho, sadayein yeh baar baar
Ik shor hai zameen par x2 Giraalo Hussain ko
6) Ache nahin iraadey, yazeedi sipaaha ke
Paaon nikal rahe hain, rakaabon se Shaah ke
Ghazi nahi hai tum hi x2 Sambhaalo Hussain ko
7) Zainab sada yeh deti hai, ay be qaraar maa
Zakhmon ko mil ke baandhegi, Haidar ki betiyaan
Khaime mein aik baar x2 Bulaalo Hussain ko
8) Rone lagi ay Mir Takallum wo gham zada
Phailaake apne haath jo, Shabbir ne kaha
Godi thori der x2 Sulaalo Hussain ko
Ya Fatima rida mein chupaalo Hussain ko