Sakina Ki Yeh Aati Thi Sada

Write-Up
Haaye Sakina
Samajhke Zahra, sataya gaya Sakina ko
Qadam qadam pe, rulaaya gaya Sakina ko
Wo zakhm aaj bhi taaza hai, pusht e naaqa se
Aur gir rahi hai, giraaya gaya Sakina ko
Qaid khaane se Sakina ki yeh aati thi sada, pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Mujh ko chalte huwe naaqe se giraaya Baba
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Hogayi chaar baras mein hi Sakina Zahra
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Wo bhi daada se chupati rahi apna pehlu
Mujh se bhi dekh na jaayenge Ali ke aansu x2
Jee te jee merey, mera zakhm na dekhey bhaiya
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Kaise aayi hoon main bazaar se hokar Baba
Mujh ko maarey gaye is zakhm pe pathar baba x2
Roke main kehti rahi phir bhi kisi ne na suna
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Ab samajh sakti hoon kis tarha wo soti hongi
Haath pehlu pe rakhe kaise tarapti hongi
Karwatein dard mujhe bhi nahi leney deta
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Hu ba hu Fatima Zahra si zayeefi chaayi
Jhurriyaan chehre pe baalon mein safedi aayi
Ik kami baaqi wo bhi huwi puri Baba
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Saath suraj yeh dil doob raha hota hai
Amma kehti hai yehi waqt dua hota hai x2
Roz karti hoon sar e shaam main marne ki dua
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Jaake jannat mein aaraam nahi paayega
Kya yeh armaan mera dil mein hi reh jaayega
Kaise godi mein uthaaoongi main Asghar ko bhalaa
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Aap ka sar jale daaman mein uthaane ke loye
Haath darbaar mein mushkil se uthaaye maine x2
Tum ko us waqt bhi maine na bataaya Baba
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Gir pari khaak pe namoos e Nabi dekh ke sar
Qaid khaane mein huwi aur qayamat Akbar
Leke sar baap ka, bachi ne jo ro ro ke kaha
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha
Qaid khaane se Sakina ki yeh aati thi sada
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarha