Zakhm-e-Akbar Per Laila Rida

Write-Up
Haye Akbar
Keh rahe the yeh ro ro ke Sarwar, zakhm e Akbar pe Laila rida daal do
Mera farzand hai khoon mein tar x2 Zakhm e Akbar pe Laila rida daal do
1) Zakhm se is qadar khoon baha hai, khoon e Akbar se tar Karbala hai
Naiza e zulm ki loriyon se, laadla mera soya huwa hai
Koyi is ko jaga de na aakar, zakhm e Akbar pe Laila rida daal do
2) Haath mein khoon ki mehndi lagaalo, Bas tasawwur mein dulha banaalo
Tum ne maani hai jo zindagi bhar, mannatein aaj saari barhaalo
Ghurbaton ka yeh sehra sajaakar, zakhm e Akbar pe Laila rida daal do
3) Meri behnon ko kab yeh pata hai, wo samajhti hai yeh so raha hai
Sard hai jism saakit hai nabzein, mera karyal jawaan mar chuka hai
Haath seene se iska hataa kar, zakhm e Akbar pe Laila rida daal do
4) Gham ki kaali ghataa chaa rahi hai, mujh ko yeh baat tarpa rahi hai
Parda saidaaniyon ka lutegaa, shaam e ghurbat qareeb aa rahi hai
Phir mayassar kahan hogi chaadar, zakhm e Akbar pe Laila rida daal do
5) Khaak mein mil gaya hai wo Baano, jis ko mitti bhi lagne na di ho
Kitna naazon se paala tha usne, zakhm jaldi se Bibi chupaado
Bint e Zahra na dekhein yeh manzar, zakhm e Akbar pe Laila rida daal do
6) Haaye meri Sakina ki turbat, kaise dekhegi bhaayi ki mayyat
Do janaaze na uthenge mujh se, wo to zindaan ki hai amaanat
Mar na jaaye kahin meri dukhtar, zakhm e Akbar pe Laila rida daal do
7) Usko yeh keh ke dena dilaasa, tu ne dekha na bhaayi ka laasha
Teri jaanib se maadar ne lekin, be kafan ko kafan dediya tha
Naam beemar Sughra ka lekar, zakhm e Akbar pe Laila rida daal do
8) Ay Bilal aik mehshar bapa tha, khaima e Shah matam kada tha
Ashk aankhon se paiham rawaan the, aal e Ehmad mein shor e buka tha
Jab yeh kehte the sibt e Payambar, zakhm e Akbar pe Laila rida daal do