Tu Agar Hota To Aisa Nahi Hota Ghazi

Write-Up
Aayi jab Karbobala lot ke Bint e Zahra
Qabr e Abbas pe Zainab ne, kiya yeh noha
Tu agar hota to aisa, nahi hota Ghazi
Teri shehzaadi yun dar dar na, phiraayi jaati
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi
Qabr e Abbas pe Zainab yeh, sada deti thi
1) Kabhi yasrab to kabhi suwe Najaf dekhte they
Kabhi teray kate shaanon ki, taraf deknhte they
Sheh ne Akbar ke kaleje se, nikaali barchi
2) Hogayi Sani e Zahra bhi, zayeefa Abbas
Saans letin hoon magar main nahi, zinda Abbas
Teray tukron ki qasam teri, behen toot gayi
3) Pyaas main bhi tujhe aawaaz diye jaatey they
Zer khanjar bhi tera naam, liye jaatey they
Gardan e Shah pe jab shimr chalata tha churi
4) Meray haathon ko bhi rassi se, gaya tha baandha
Main bhi hathon ka na le paayi, sahara bhaiyya
Jaise tu zee(n) se giraa waise, main naaqey se giri
5) Qaid khaana bhi ghareebi pe, meri rota hai
Laash mastoor uthaaye yeh, kaha hota hai
Farz beton ka nibha aayi, Ali ki beti
6) Kaise batlaaoon wo darbaar, ka manzar bhaiyya
Khelta tha sar e Sarwar se, sitamgar bhaiyya
Martaa tha meray mazloom ke, honton pe chari
7) Qabr mein chain se maasoom, ko sone na diya
Wo sitam dhaaya gaya kaamp, gayi Karbobala
Laash dhoondi gayi naizon se, Ali Asghar ki
8) Lar kharate they bohot paaon, to gir jaate they
Ho kahaan meray jawaa(n) ro ke, yeh farmaate they
Laash milti, na thi bhaiyya ko, Ali Akbar ki
9) Mir Sajjad yeh mehsoos, karoge tum bhi
Aati hai roza e Ghazi pe, sada Sarwar ki
Aaj bhi qaid hai zindaan mein, bachi meri
Tu agar hota to aisa nahi hota Ghazi