Write-Up
Paamaal laasha dekh ke, kehti hai Bibiyaan
Zahra ki tarhan tooti hai, Qasim ki pasliyaan
Paamaal laasha dekh ke, kehti hai Bibiyaan
1) Tukrey pukaare dasht mein, Labaik Ya Hussain x2
aakar kaha jo Mola ne, Qasim ho tum kahaan
2) Paamaal jeete ji jo, huwa hai usse salaam x2
Ro kar lahu yeh kehte hain, khud Sahib az Zaman
3) Aajaao meray bhaayi, talak bole yeh Hassan x2
Qasim na lo Hussain ki, ghurbat ka imtihaan
4) Yeh keh ke kuch nishaanon ko, Sheh choom ne lagey x2
Abbas dekho ragri hai, Qasim ne eriyaan
5) Tukrey uthaane laash ke, Sarwar ke saath saath x2
Zahra gayin hai dasht mein, jaane kahaan khaan
6) Paamaal ho na laash, chacha ki yeh soch kar x2
Lipta huwa sumon se hai, Farwa ka nojawaan
7) Maadar karegi kis tarha, deedaar aakhri x2
Haaye sumon ke chaand se, chehre pe hai nishaan
8) Lagta hai mujh ko Mir Takallum khayaam se x2
Ab bhi sunaayi deti hai, Farwa ki hichkiyaan
Paamaal laasha dekh ke, kehti hai Bibiyaan