Beemar-e-Karbala Ka Taboot

Write-Up
Haye Sajjad
Phir Fatima ke ghar mein, farsh e aza bichaa hai
Beemar-e-Karbala ka, taaboot uth raha hai
Karbobala ka zakhmi, yasrab mein chal basa hai
Beemar-e-Karbala ka, taaboot uth raha hai
Phir Fatima ke ghar mein, farsh e aza bichaa hai
Beemar-e-Karbala ka, taaboot uth raha hai
1) Zair e kafan bhi uski, aankhon se khoon hai jaari
Yaad aa rahi hai ghurbat, Sajjad ko padar ki
Roze se Mustafa ke, ailaan ho raha hai
Beemar-e-Karbala ka, taaboot uth raha hai
2) Baaqir se keh raha tha, saadaat ka gharaanaa
Pehlu mein nana jaan ke, mayyat na leke jaana
Pehle bhi ik janaaza, ghar waapas aa chuka hai
Beemar-e-Karbala ka, taaboot uth raha hai
3) Ab to Madine waalon, tum ko sukoon rahega
Royega aur na iski, aankhon se khoon bahega
Baba ko rone waala, khaamosh hogaya hai
Beemar-e-Karbala ka, taaboot uth raha hai
4) Mayyat ke aage aage, yeh koyi keh raha tha
Bazaar se guzre, Sajjad ka janaaza
Bazaar ko yeh qaidi, rota huwa gaya hai
Beemar-e-Karbala ka, taaboot uth raha hai
5) Maara hai is tarha se, zaalim ne zehr deke
Kat kat ke baahar aaye, iske jigar ke tukrey
Pehlu e Fatima ke, phir zakhm ik laga hai
Beemar-e-Karbala ka, taaboot uth raha hai
6) Taaboot se lipat kar, kehti hai koyi bachi
Zindaan se hai aayi, bhaiyya behen tumhaari
Aankhein to khol lo ab, sar par merey rida hai
Beemar-e-Karbala ka, taaboot uth raha hai
7) Akbar jo laash e Fizza, dafnaake uthe Mola
Aayi sada e Zainab, Baqir watan chala jaa
Sajjad ka janaaza, tayyar ho gaya hai
Beemar-e-Karbala ka, taaboot uth raha hai