Write-Up
Yeh khat mein Shah ne likha, Habib aajao
Tumhara dost hai tanha x2 Habib aajao
Yeh khat mein Shah ne likha, Habib aajao
1) Shaheed kaise huwa wo, bataaoge aakar
Tum haal e Muslim e bekas, sunaaoge aakar
Ruqaiyya takti hai rastaa, Habib aajao
2) Lagaao is se bhi andaaze, meri ghurbat ke
Jahan pe ibn e Ali likhna, tha waha maine
Diya hai Maa ka hawaala, Habib aajao
3) Bata raha tha usse koyi, bhi nahin hai mera
To boli Sani e Zahra, Habib aayega
Hai usko tum pe bharosa, Habib aajao
4) Wo jab yeh sunti hai kufe se, aa rahe hai shaqi
To poochti hai hamara bhi, aayega koyi
Duaaein degi Sakina x2 Habib aajao
5) Gawaara kar nahi sakti, Hussain ki ghairat
Tumhari zawja ki chaadar ko, loot le ummat
Tum us ko chor ke kufa, Habib aajao
6) Mujhe hai yaad wo lamha, jo Rab ki marzi se
Tum hoke zinda meri baat sunne aaye the
Bula raha hoon dubara x2 Habib aajao
7) Dar e Batool dobara, jalaya jaayega
Tumharey dost pe khanjar, chalaya jaayega
Nahin hai waqt ziyada x2 Habib aajao
8) Chamakte chaand ke humko bhi, deed hojaayein
Tum aao to meray bachon mein, Eid ho jaaye
Bohot udaas hai kunba, Habib aajao
9) Yeh khat nahin isse behnon ki, aarzu samjo
Hamare lafzon ko Zainab ki, guftugu samjho
Behen yeh keti hai bhaiyya x2 Habib aajao
10) Behen ne usko Takallum, jo bhaayi samjha tha
Pukaari shaam e gharibaan mein, Sani e Zahra
Hamaara luttha hai parda, Habib aajao
Yeh khat mein Shah ne likha, Habib aajao