Write-Up
Zahra qubool kijiye, pursa Hussain ka
Pyaase ka be watan ka x2 Shahe Mashraqain ka
Zahra qubool kijiye, pursa Hussain ka
1) Jab maah e Muharram ne khabar, ghum ki sunaadi
Rukh kar ke baqaiyya tale, momin ne sada di
Tashreef laaye farsh e x2 Aza Sheh ka bich gaya
2) Mazloom ke ghum mein huwi, maghmoom Khudayi
Phir naam pe pyaason ke, sabilein hain lagayi
Ghar ghar mein hain Hussain ki x2 Ghurbat ka tazkira
3) Har more pe dhaaras jo raha, Bint e Ali ki
Wo jiski shahadat pe kamar, Sheh ki jhuki thi
Us sher ke katay huwe x2 Shaanon ka waasta
4) Aayi jo Madine mein wo, zindaa(n) se palat kar
Ghar jaane se pehle gayin, maadar ki lahad par
Zainab ne maa ki qabr pe x2 Di pehli yeh sada
5) Ghazi ko isi maa ne, sikhayi thi wafaayein
Beton ke liye bharti bhala kaise wo aahein
Noha tha yeh baqaiyya mein x2 Ummul Baneen ka
6) Pardes mein ummat ne jisse, zakhm diye hain
Ik din mein jisse daagh, bahatar ke mile hain
Us par salaam jis ka x2 Bhara ghar ujar gaya
7) Jeene na diya usko, Musalmaano ne Bibi
Paala tha jisse aap ne, armaano se Bibi
Haaye rula rula x2 Usse zibha kar diya
8) Mazloom ki gardan pe wo, chalta huwa khanjar
Khoon un ko rulata hai, Takallum yehi manzar
Daadi ki ujri qabr pe, Mehdi ka hai noha
Zahra qubool kijiye pursa Hussain ka