Dhaiktay Jana Ali Akbar

Write-Up
Jalaa jo khaime se, marne Rasool jaisa pisar
To peeche peeche yeh kehte, huwe chale Sarwar
Mur mur ke mujhe daikhtay jana Ali Akbar
Kuch der to jee le tera x2 Baba Ali Akbar
Mur mur ke mujhe daikhtay jana Ali Akbar
1) Tum zee(n) se giroge to badal jaayegi dunya
Maqtal ki taraf kaun, hume leke chalega
Qaatil to batayenge na x2 Rasta Ali Akbar
2) Beemar e Madina ki khabar aati hi hogi
Tum saath liye jaate ho, beenaayi bhi meri
Main kaisay parhunga khat e x2 Sughra Ali Akbar
3) Hojayega mushkil mera, aana meray beta
Maqtal mein kahin door, na jaana meray beta
Ab mujh se chalaa bhi nahin, jaata Ali Akbar
4) Ehsaas tarapne ka hamaray tujhe hota
Meri tarha tu apna, jigar thaam ke rota
Tera bhi jo hota koyi x2 Beta Ali Akbar
5) Nana meray pooche jo, kahaan der lagayi
Keh dena ijaazat bari, mushkil se hai paayi
Lag jaao gale aake, dobara Ali Akbar
6) Nana gaye jab aayi thi, Amma pe zayeefi
Tum jaate ho haalat hai, ajab bint e Ali ki
Zainab huwi jaati hai, zayeefa Ali Akbar
7) Ay laal tujhe karta hoon, baba ke hawaale
Maidaan mein haste hain, khare barchiyon waale
Achi tarha phir dekhloon x2 Seena Ali Akbar
8) Sar peet ke Mola ne Takallum yeh sada di
Hai chaadar e Zainab meri, ghurbat ki gawaahi
Main tum ko kafan de nahi, sakta Ali Akbar
Mur mur ke mujhe daikhtay jaana Ali Akbar