Sojaye Thori Dair Sakina

Write-Up
Rukhsat ko aaye khaime mein, Jab Shah e Karbala
To Bint e Ali ne jor ke, haathon ko di sada
Zainab gale ko choom le bhaiyya to jaaiye
So jaaye thori dair Sakina to jaaiye
1) Amma kahengi dekh ke chehra lahu bhara
Zainab ne kya khayaal nahin, rakha bhaayi ka x2
Chaadar se saaf karlu jo chehra to jaaiye
So jaaye thori dair Sakina to jaaiye
2) Zainab ghareeb hogayi, kuch bhi nahin bacha
Laashein uthaake Aun o Muhammad ke main zara x2
Ik baar phir utaarlu sadqa to jaaiye
So jaaye thori dair Sakina to jaaiye
3) Jaaney da detey barchiyon waalon mein main kabhi
Wo maa hai aur kaniz hoon bhaiyya main aap ki x2
Ran mein bulaa rahi hai jo Zahra to jaaiye
So jaaye thori dair Sakina to jaaiye
4) Rokungi phir na aap ko waada rahaa mera
Nazdeek hai, yahan se Najaf Shah e Karbala x2
Aajaayein meray paas ja Baba to jaaiye
So jaaye thori dair Sakina to jaaiye
5) Lagta hai ran mein aap ka karta hai intizaar
Leh raha hai haath mein khanjar wo baar baar x2
Bhaiyya badal le shimr irada to jaaiye
So jaaye thori dair Sakina to jaaiye
6) Karni hai jang aakhri bhaiyya behen nisaar
Khoon beh raha hai kaise chalaayenge zulfiqar x2
Baazu ka zakhm baandh le behna to jaaiye
So jaaye thori dair Sakina to jaaiye
7) Zindaa(n) mein hum jo qabr e Sakina banaayenge
Kya aap leke Ghazi ko us waqt aayenge x2
Kar lijiye behen se yeh waada to jaaiye
So jaaye thori dair Sakina to jaaiye
8) Kaise bayaa(n) ho Mir Takallum wo bekasi
Yeh keh ke Bint e Fatima khaamosh ho gayi
Waade mein dair hoti hai acha to jaaiye
So jaaye thori dair Sakina to jaaiye
Zainab gale ko choom le bhaiyya to jaaiye
So jaaye thori dair Sakina to jaaiye