Write-Up
Tera matam ya hussain, tera matam ya hussain
Mera jeena mera marna
hai tera matam ya hussain
Farshay majlis aankh hai num, Humko pyara aapka gham
Ye zameen o aasma(n) par, Hota hai shaha ka matam
Soag me hashr talak hai, dooba doh aalam ya hussain
Khoob ki hai kya ita'at, Milgai usko shafa'at
Martaba aisa mila hai, hurr ne pai hai wo jannat
Kar rahay hai quld me wo, aapka matam ya hussain
Kartay hai aag ka matam, Hoga hargiz na kabhi kam
Moujuza shahay Zaman ka, Dekhlo aaj ye paiham
Aag banjati hai khud hi, sholo se shabnam ya hussain
Humko toofan se kya darr, Mera maalik moula sarwar
Rok paogein kaha tak, Ye Azadari ye lashkar
Jhuk saka na jhuk sakega, ocha hai parcham ya hussain
Moula sadiq ka zamana, Apni wo jaan lutana
Aur haathon ko katana, Ziarat e shaha ko jaana
Roknay per na ruka hai, ishq ka mousam ya hussain
Girgaya ghoday se ghazi, Ye fizao ne sada di
Thamkar tooti kamar ko, Pohchay abbas ke bhai
Sogaya baazu katakar, aapka humdum ya hussain
Subhe ashur Qayamat, Moula sarwar ki shahadat
Har qadam per hai musibat, Qalb e Zehra ki wo haalat
Rorahi hai khaak urdha kar, teri maa Jaanam ya hussain
Aasma'n ronay laga hai, Bas yehi aaho buka hai
Dasht ka sara wo manzar, Khoon me doob gaya hai
Pattharo ke seene me bhi, aapka hai gham ya hussain
Bint e Haider ki tamanna, Bhai ke gham me hai rona
Warna mushkil hoga jeena, Saath Abid ka tadapna
Qaid qanay me bhi hoga, aapka matam ya hussain
Ye mili humko sa'dat, Ibne Haider ki mohabbat
Hai Azadari ibadat, Hai hamari yehi Jannat
Har maraz ki ho shifa tum, zakhm ka marham ya hussain
Nauha khuwani ka Sharaf hai, Ye Tejani ka hadaf hai
Aur Akbar ki ata me, Karbala shahay Najaf hai
Hum karenge ta Qayamat, aapka matam ya hussain