Allah Tujhe Babe Hawaaij Ka Wasta

Write-Up
Allah tujhe babe-hawayej ka wasta
Shaafi hai tu mareez ko ab jald de shifa
Kaisa maraz hai aati nahi hai dawa bhi kaam
Roti hai shab tadapke, sisakti hai subho-shaam
Leta hai hasrato'n se jaha'n bas tera he naam
Be-maut mar rahe hain hame ab tuhi bacha
Kaisi waba hai aata nahi koi aas-paas
Ek hashr sa bapa hai nahi hosh aur hawas
Marne ke khauf se hai dile-natawa'n udas
Ghere hue hai rooh ko jaise koi bala
Shehrekhamosha'n murdo'n se ab hain pate hue
Phirte hain baap beto'n ke laashe liye hue
Shamshan me Chitaoun ke mele saje hue
Mayyat ko kitni ghuslo-kafan tak nahi mila
Kitne darakht aandhi se pal me ukhad gaye
Bacchon se baap, baap se bacche bichad gaye
Ghar-ghar wo maut aayi ke ghar-ghar ujad gaye
Kaisa hai roug jane khuda kaisi hai waba
Yaad aata hai Damo'n ka ukadna wo baar-baar
Wo bekasi wo aaho-buka, cheekh aur pukar
Zainab ke sabr se hame mil jata hai qarar
Bhai pe ek behan ne kiya baccho ko fida
Jo zakhm zindagi ko mile bhar na payenge
Humse bichad gaye hain jo wo yaad aayenge
Apno ke dard khoon ke ansoo rulaenge
Mar jate hum jo saamne hoti na karbala
Parwardigar hai tujhe Asghar ka wasta
Qasim ka wasta Ali Akbar ka wasta
Abbas ibne fatahe khaibar ka wasta
Tu hai Kareem apna karam hum pe kar zara
Haqqaniyat me hote hain jo log be- Nazeer
Ahle-wila hain soofi hain darvesh hain faqeer
Hakim ne jinko kar diya hai be-khata aseer
Qaide-sitam se kar de unhe jald he riha
Kiski nazar lagi ke tijarat hui tamaam
Karwat li aysi waqt ne nemat hui tamaam
Duniya ne munh ko phera jo daulat hui tamaam
Raziq hai rizq ghaib se tu kar hame ata
Beemariyo'n me jab se giraftaar ho gaye
Hum to sabhi ke waaste ek baar ho gaye
Jinke liye thhe phool kabhi, khaar ho gaye
Mohtaj tu kisi ko kisi ka nahi bana
Wo mushkilaat hum pe padi'n choor ho gaye
Hum dekhte he dekhte majboor ho gaye
Maqrooz kya hue hain ke sab door ho gaye
Kar de hamare qarz ko jaldi se tu ada
Tauqeer aur Tejani ki hai ye hi aarzu
Shohdaye-karbala ki karen bas wo guftugu
Nasle'n bahaye unki ghame shah me lahu
Chalta rahe ye nauha-o-matam ka silsila