Write-Up
Neendh ke bojh sy jab hogayi(n) bojhal ankhen
Khu(n) ke ansu sy hoti jati thi(n) jal thal ankhen
Shiddate gham sy jali jaati thi(n) pal pal ankhen
Laa i(n) bachi ko bil aakhir sare maqtal ankhen
Baap ki laash pe roroke sakina ne kaha
Aaj seene pe na kyun mujhko sulaya baba
Mujhse pehle tumhe neend aagayi kaise baba
Khaak bistar ki tarha bhaagayi kaise baba
Jab talak bahon mei jhula na jhulalo mujhko
Tum to sote na the jab tak na sulaalo mujhko
Raat sy pehle hi neend aagayi kaise baba
Mujhse pehle tumhe neend aga inyi kaise baba
Aapke halq pe khanjar ye chalaya kisne
Daagh mujhpar ye yateemi ka lagaya kisne
Ye to puchho main yaha(n) aagayi kaise bava
Kaan zakhmi hai(n) lahu behta hai ankhen kholo
Kya karu(n) jaau(n) kaha(n) kuchh to zuba(n) sy bolo
Mere gulshan pe khiza(n) chhagayi kaise baba
Sirf khaimey hi nahi jalgaya daman bhi mera
Doondhti phirti hu(n) sehra mei tumhara seena
Tumko karbal ki zamee(n) khagayi kaise baba
Thokarei(n) khaati huwi girti huwi aaayi hu(n)
Rukh pe baba main tamacho(n) ke nisha(n) laayi hu(n
Kya kahun aapko main paagayi kaise baba
Iss andhere mei sada aap nahi dete agar
Kaise pehchaanti main aapki laashe be sar
Meri khushbu tumhe yaa(n) agayi kaise baba
Pyaas ka shikwa karun kisse koi paas nahi
Aas thi jisse bohot baba wo abbas nahi
Alqama humpe sitam dhagayi kaise baba
Iss andhere mei kahi(n) sota hai asghar bhi mera
Iss andhere mei mera bhayi to ddarta hoga
Pyaas mei neend usse aagayi kaise baba
Thak ke sote ho to sote raho main jaagungi
Main hawaao(n) ka yaha(n) shor na hone dungi
Ye faza tumko pasand aagayi kaise baba
Meri qismat mei ab to neendh ke aasaar nah
Dhoop hai gham ki kahi(n) sayaa-e-diwaar nahi
Meri qismat mujhe tardpagayi kaise baba
Aik ik harf mei Tejani hai aaho zaari
Khun hai khamaa-e-rehan se aise jaari
Har taraf gham ki ghata chagayi kaise baba