Write-Up
Aalam mei bapa hogaya hangaama-e-mehshar
Ro-ey the zamee(n) aur falak dekh ke manzar
Maa(n) rooi thi jab dekh ke godi ke pale ko
Haaye teer ne jab chaida asghar ke gale ko
Thaamey thi(n) rabaab apna jigar dard ke maare
Faryaad labo(n) par thi meri jaa(n) mere pyaare
Bardaash karey kaise ye gham maadare muztar
Afsos teri maa(n) sy judaayi huwi haaye
Navak sy teri doodh bardhayi huwi haye
Mazloomi - e - asghar sy laga seene pe nashtar
Asghar ke liye saamne aajaati thi(n) zehra
Bach jaae mera laal ye farmaati thi(n) zehra
Jab teer nishaane pe lagaata tha sitamgar
Besheer ko maula ne kaleje sy lagaya
Ik baap ne bacche ka ye gham kaise uthhaya
Asghar ka lahu chehre pe malte rahe rokar
Roti thi(n) phupi maaei(n) bhatije ke alam mei
Aur ehle haram rote the besheer ke gham mei
Sab behne buka karti thi(n) baba sy lipatkar
Paprdaye huwe lab pe zubaa(n) apni phiraayi
Is ghurbate besheer pe larza(n) thi khudaayi
Mu(n) pher ke roya tha sitamgaaro(n) ka lashkar
Wo teer jo heywano ki khatir tha banaaya
Sad heif wahi phool si gardan pe chalaaya
Wo ghuncha dahan rehgaya haatho(n) pe ulatkar
Hai karbobala dard bhari teri kahaani
Che maah ke bacche ne sahi tashnadahaani
Sukha tha gala sukhi zubaa(n) haaye muqaddar
Is dard ko bas puchho hussain ibne ali sy
Ik baap pe the kitni qayamat ke wo lamhey
Shash maaha shaheed hogaya gardan ko bardha kar
Majlis mei nigaar ehle aza karte hai(n) matam
Zehra ki dua paayengi jo ankhen hai(n) purnam
Tejani biradar bhi rote hai(n) ye pardhkar
Haaye teere sitam sy jo chidi gardane asghar
Maa(n) rooi thi jab dekh ke godi ke pale ko
Haaye teer ne jab chaida asghar ke gale ko