Write-Up
Jab khoon me doobe hain Haider
Aandhi ki tarah se utthi khabar
Dekha jo Ali ki halat ko
Zainab ne kaha ye ro-rokar
Tumko jo na payenge baba hum jeete-jee mar jayenge
Zainab ke labon par tha nauha hum jeete-jee mar jayenge
Ye kisne lagaya zarb tumhe kis shakhs ne tumko mara hai
Hai sar pe tumhare zakhm laga dil apna para-para hai
Armaan hamara hai bikhra hum jeete-jee mar jayenge
Hum sabke dilon par kya guzri jab saans tumhari doobi hai
Kulsoom ki halat mat poocho zainab bhi ujdi ujdi hai
Uththega tumhara jab lasha hum jeete-jee mar jayenge
Gehra hai tumhara zakhm bahut takleef bhi badhti jati hai
Wo zarb laga baba tumko ruk ruk ke saans ab aati hai
Tootega jo sanson ka Dora hum jeete-jee mar jayenge
Shabbar ki hain ankhon me aansoo shabbeer tadapte hain gham me
Ek shor sa har su uthta hai, Aayi hai qayamat aalam me
Kehta hai yahi dil hum sab ka hum jeete-jee mar jayenge
Bachpan he se pyari Amma'n ka ek sath tha pyara wo choota
Madar ki judayi kya kam thi ek aur Alam sar par toota
Tum chodh ke jate ho baba hum jeete-jee mar jayenge
Beti ko tumhari ay Baba karbal ka safar bhi karna hai
Bhai ke liye ek behna ko ab jeete-jee he marna hai
Tha binte ali ka ye kehna hum jeete-jee mar jayenge
Tauqeero-Tejani' Zainab ka purdard bahut afsana hai
Beti ko Ali ki nange-sar baazare-shaam se jaana hai
Thi Saniye-Zehra ki ye sada hum jeete-jee mar jayenge