Utho Sakina Chalein Karbala

Write-Up
Sakina Sakina
Zindaan se jab riha huwey, sadaat e Karbala
Maa ne lipat ke qabr e Sakina pe di sada
Utho Sakina chalein Karbala x2
Choti si turbat, pe maa ne kaha, utho Sakina chalein Karbala
Zindaa se jaata hai ab qafla, utho Sakina chalein Karbala
1) Mujhe shahzadi tumhari qasam, na rakhungi zindaan se baahar qadam
Safar ki ab hoti, hai taiyyariaan, amaari mein bethey hain ehle haram
Ghurbat ke meri tumhe waasta, utho Sakina chalein Karbala
2) Wo Pehle ke jaisi to ghurbat nahin, ay bibi hamari wo haalat nahin
Tumhey shaamiyon se ab ay meri jaan, kafan maangney ki zarurat nahin
Lo milgayi hai, tumhari rida, utho Sakina chalein Karbala
3) Mujhe yaad Asghar ki hai bekasi, lahad se wo mayyat nikali gayi
Akeley mein rehney na dungi tumhey, bharosa nahi shaamiyon ka koyi
Rehtey hain chaaro taraf ashqiya, utho Sakina chalein Karbala
4) Yeh shaami kahan tum, ko behlaaengey, tumhari lahad par nahi aaengey
Rahega andhera hi zindaan mein, haram jab yahan se chale jaaengey
Kon aaeyga phir, jalaaney diya, utho Sakina chalein Karbala
5) Kahani padar ki, sunaaungi main, agar neend aayi sulaungi main
Akeley na naaqey pe baithogi tum, tumhey saath apney bithaungi main
Ab to rasan mein, no hoga gala, utho Sakina chalein Karbala
6) Mujhe maar daalega bas yehi ghum, kamar mein hai beti tumhari jo khum
Varam baazuon ka, mujhe yaad hai, tumhey to dikhayi bhi deta hai kum
Akbar se bibi milegi shifa, utho Sakina chalein Karbala
7) bari deir tehri, hai darbaar mein, yahan par na roko ziyada unhe
Ke pehlu pe ik haath rakhe huwey, sada de rahi hai Sakina tumhey
Leney ko aayi hai khud Sayyada, utho Sakina chalein Karbala
8) Thi Zindaan mein Akbar, ajab wo ghari, rihaayi pe roti thi har ik phuppi
Idhar khoon rota tha Abid udhar, Sakina lahad mein tarapti rahi
Jab bhi yeh maadar ne rokar kaha, utho Sakina chalein Karbala