Write-Up
Marhaba Marhaba
Hur ibn e Riyahi, Aja merey bhaayi
Hur aa raha hai Akbar, seeney usse lagaao
Mehmaan ko hamaarey x2 Khaime mein leke aao
1) Khud yaad hoga us ko, paani tha usne roka
Khuddaar wo bohot hai, sharminda humse hoga
Pyaase hain saarey bachey, us ko na yeh bataao
2) Dekho wo chal raha hai, maidaa(n) mein lar khara kar
Girney se pehley Akbar, us ko sambhaalo jaakar
Ay merey shaahzaade, jaldi qadam barhaao
3) Abbas apne dil se, har baat saaf kardo
Maa Fatima ke sadqey, Hur ko muaaf kardo
Jaakar alam ke us ko, saaey mein lekey aao
4) Beta Hussain qaidi, kaisey kisi ko dekhein
Meri taraf se kholo, tum uske haath jaake
Baba khafa nahi hai, jaakar usse bataao
5) Tum se bhi pehley marney, jaaeyga uska beta
Jee bhar ke dekhley wo, apne pisar ka chehra
Kum waqt reh gaya hai, jaakar usse bataao
6) Taa hashr yeh kareemi, sab yaad hi rakhenge
Mehmaan ka paseena, khud saaf hum karenge
Fizza hamaari maa ka, rumaal leke aao
7) Jis dum suni Ali ki, beti ne yeh sadaayein
Aansu bahaa ke usko, deney lagi duaaein
Bachon se phir yeh boli, Hur ko galey lagaao
8) Maa Fatima ke lab par, uske liye dua hai
Ghurbat mein usne hum par, ehsaan kar diya hai
Hur ke ghulaam ko bhi, izzat se leke aao
9) 'Sajjad' kya bayaa(n) ho, kehti thi Bint e Zahra
Bhaayi ki jaa(n) bachaane, ik aur Habib aaya
Mera salaam Fizza, pohnchaa ke usko aao