Write-Up
Haaye Alamdaar, Haaye Alamdaar
Kehtey they kamar thaam ke yeh sayyad e Abrar
Haaye Alamdaar, Haaye Alamdaar
1) Yeh haal hai laashey ka sambhaala nahi jaata
Teer aankh se bhaayi ki nikaala nahi jaata
Imdaad ko aajiye ya Haidar e Karrar
2) Zainab ne teri aas pe chora tha Madina
Main kaise bataaun usse Saqqa e Sakina
Maara gaya Zainab teri chaadar ka nigehdaar
3) Tum qatl huwe hum pe bhi chal jaayegi shamsheer
Aghyaar mein reh jayegi tanha meri hamsheer
Zainab ki rida bachne ke baaqi nahi asaar
4) Jis tarha se ghar laaey they masjid se Ali ko
Us tarha se le jaayenge khaime mein jarri ko
Akbar merey bhayi ka janaaza karo tayyaar
5) Baazu bhi qalam ho gaye ay baazu e Shabbir
Tukrey hai badan aankh mein paiwast huwa teer
Kisne yeh meri Maa ki duaaon pe kiya waar
6) Aati hai sada lootlo namoos e Nabi ko
Ab maarna aasaa(n) hai Hussain ibn e Ali ko
Marney pe terey jashn manaatey hain sitamgaar
7) Akbar humein mushkil se bohot laaey hain bhaayi
Maidaan mein girtey huwe hum aaey hain bhaayi
Aankhein to zara kholo merey moonis o ghumkhaar
8) Ik baat tumhein karb ki batlaata hoon bhaiyya
Jab bhi maasooma ke maarega tamaacha
Ro ro ke pukaregi Sakina tumhey har baar
9) Tha Mir Takallum yehi Shabbir ka noha
Jaatey huwe poora karo armaan hamara
Ay bhaayi hume bhaayi pukaaro zara ik baar