Chadar Dikha Dikha Kay
speaker_notes
Write-Up
Abbas ki behen ko, shaami rula rahey hain, chaadar dikha dikha kay
Rasta bana rahi hai, Bint e Ali ka Fizza, Kaantein hata hata ke
1) Pardes mein kisi par, aisa na waqt aaye
Na mehramon mein koyi, yu(n) be rida na jaaye
Kartey hai yeh duaaein, ehle haram ke bachey, jholi utha utha kay
2) Bhaayi behen ki aankhein, num hoti jaa rahi hai
Bint e Ali ki saansein, kum hoti jaa rahi hai
Khanjar chalaa raha hai, Zainab ke dil pe zaalim, khanjar dikha dikha kay
3) Ik bachi keh rahi hai, aao madad ko baba
Daadi ki tarha main bhi, ab ho gayi zayeefa
Zakhmi kiya hai pehlu, naaqey se zaalimon ne, mujh ko gira gira kay
4) Pardey mein bhi jo Bibi, chalti na thi ziyada
Pardes mein ab un par, aaya hai waqt kaisa
Laaye hain shaam waaley, un shahzadiyon ko, paidal chala chala kay
5) Wo shaamiyon ke taaney, wo muskuraate chehrey
Be parda saath apne, Bint e Ali ko lekey
Sajjad kaise bhoolay, us bheer se guzarna, nazrein jhuka jhuka kay
6) Jaatey hain jis taraf bhi, ehle haram khuley sar
Khaati hain pehley durra, khaati hai pehley pathar
Apne lahu mein tar hai, Zahra ki betiyon ko, Fizza bacha bacha kay
7) Zakhmon ki wo Takallum, taadaad jaantey hain
Mehdi ko bhi khabar hai, Sajjad jaantey hain
Maarey hai kis ne kitney, Haidar ki laadli ko, pathar utha utha kay