Karbala Chalo
speaker_notes
Write-Up
Karbala chalo, Karbala chalo
Lo agaaya bulaawa x2 Mazloom Karbala ka, Karbala chalo
Karbala chalo, Karbala chalo
1) Maa muntazir hai betey ke, ghumkhaar aaengey
Aakar merey Hussain ke, aansu bahaaengey
Bint e Rasool takti hai x2 Tum sab ka raasta, Karbala chalo
2) Zahra ka laal qabr mein, hasrat yeh legaya
Akbar ka kalma goyon ne, pursa nahi diya
Ab Sheh ko lena x2 Karyal jawaan ka, Karbala chalo
3) Jee bahr ke apne bhaayi ko, Zainab na ro saki
Majlis zameen Karbobala par, na ho saki
Armaan Sayyada mein x2 bichaane saf e aza, Karbala chalo
4) Khanjar taley Hussain ki, aahein gawaah mein
Halmin mugheesuna ki, sadaeyin gawaah hai
Kab se humey bulaata hai x2 Zahra ka laadla, Karbala chalo
5) Jis khaak ne chupaaya hai, Bint e Ali ka sar
Jisne kafan banaaya tha, laash e Hussain par
Us Karbala ki khaak ka x2 Karney ko shukriya, Karbala chalo
6) Baazu kataake jis jaga, Abbas sogaye
Armaan bawafa ke, jahan dafn hogaye
Aansu wahaan giraayenge x2 Paani jahaan gira, Karbala chalo
7) Qismat se waqt aaeyga, jab yeh hayaat mein
Tum apni betiyon ko bhi, lejaana saath mein
Akbar ko wo sunaayengi x2 Sughra ka marsiya, Karbala chalo
8) Ik saal baad bhaayi ka, sar jis gahri mila
Abid se ro ke kehti thi, yeh Bint e Sayyada
Dafnaaoongi main haathon se x2 Sar apney bhaayi ka, Karbala chalo
9) Chehlum bhi apney baap ka, bachi na karsaki
Roti huwi wo shaam ke zindaan mar gayi
Ay kaash koyi kehdey, Sakina se yeh zara, Karbala chalo
10) Is saal Arbaeen pe, aisa ho ehtemaam
Ay kaash zaairon mein ho, shaamil hamara naam
Aur dein humein bhi Hazrat e Abbas yeh sada, Karbala chalo
11) Ghurbat musaafiron ki, musaafir samajh sakey
Kaisey chali thi bibiyaan, andaaza ho humein
Aansu bahaatey shehr e Najaf se piyaada paa
12) Chehlum pe jaisey aati hai, Zainab bhi shaam se
Izn e safar miley jo, Takallum Imam se
Har ik qadam zahoor ki, kartey huwe dua, Karbala chalo