Write-Up
(Shaam, haaye shaam) x6

(Manazare raahe shaam agaya) x2

1. Sajad roke kehta hai mun dhamplo phuphi
Dar dar phirayi jayegi ab dukhtare Ali
Behaya kufr ke narghe mei
Agayi saaniye Fatema

(Manazare raahe shaam agaya) x2

2. Ye paak bibi behna hai do imam ki
Kal thi wo shahzadi Kufa o Shaam ki
Qaydi wo banke aayi yahaan
Aaj kya haal us ka huwa

(Manazare raahe shaam agaya) x2

3. Ik sar jo gir raha hai neze se ret par
K(air)se wo dekhpayega Zainab ko nange sar
Shere haider ki aankhei(n) hai(n) band
Zapt na karsaka bawafa

(Manazare raahe shaam agaya) x2

4. Majma sharabiyon ka hasta hai zaarozar
Hum qadiyon ke lab par bas hai yahi pukaar
Ab kahaan jaye aale nabi Beamaan bewatan berida

(Manazare raahe shaam agaya) x2

5. Ik rassi mei gale hain bara bandhe huwe
Sab qadi is safar mei rote huwe chale
Pusht par unko durre lage Aag si ret gharm hai hawa

(Manazare raahe shaam agaya) x2

6. Marjayegi sakina hai haal istarha
Mun par lage tamache daman bhi hai jala
Uske kaanon se khun hai rawaan
Pyaasi bachi ki hai ye buka

(Manazare raahe shaam agaya) x2

7. Ik shaami ne kanizi mei manga hai use
Roti hai wo sakina ammu kahaan gaye
Dekh kar toq o zanjeer mei
Dam nikalta hai sajjad ka

(Manazare raahe shaam agaya) x2

8. Mehroom tashnalab the paani ke gunt se
Raste mei kitne bachhe girte the unt se
Jitney girte the marte gaye
Ujri maaon ki the ye sada

(Manazare raahe shaam agaya) x2

9. Zist ka hunar "Tejani" humko sikha diya
Zainab ne apna khutba ayse shuru kiya
Mujhko manzoor marzi teri
Ay khuda zuljalaal shukriya

(Manazare raahe shaam agaya) x2