Write-Up
(Haaye Zindaan, Haaye Viraan) X3



Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,

Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na

Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na



1. Tere Laashe Ki Jo Haalat Hai Wo Dekhu(N) Kaise

Ye Nishaa(N) Neeley Jo Tan Pe Hai Bhulaau(N) Kaise

Teri Furqat Ka Gham Samau(N) Apne Dil Mei

Qalb Ye Mera, Phat Jaaye Kahi Na



Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,

Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na

Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na



2. Apne Sine Se Lagakar Haaye Baba Ka Sar

Apne Gham Saare Sunaaye Use Tune Rokar

Band Ahista Hone Lagi Thi(N) Teri Aankhei(N)

Aysi Neend Aayi Tu Phir Se Uthi Na



Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,

Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na

Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na



3. Mei(N) Tujhe Chordu Kaise Hai Andhera Zindaan

Na Yahaa(N) Roshni Aye Na Koi Bhi Insaan

Tishnalab Soti Ho, Yahaa(N) Qayd Mei Beti

Mujhe Phir Aaj Se, Paani Nahi Pina



Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,

Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na

Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na



4. Tujhko Kho Kar Rehpaaye Kaise Dukhiya Maadar

Tum Nahi Paas Mere Paas Nahi Hai Asghar

Ab Ghar Jaaye Kaise, Karey Kya Teri Amma

Bin Tere Beti, Dushwaar Hai Jeena



Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,

Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na

Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na



5. Ye Jo Kurta Hai Jalaa Aur Tera Zakhmi Hai Badan

Taziyaanei(N) Se Huwa Neela Tera Saara Tan

Itne Gham Jhele Hai, Nahi Mujhko Gawara

Zakhmo(N) Se Surkh Hai Tumhara Pasina



Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,

Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na

Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na



6. Tha Yahi Khwaab Tumhara Ke Chalenge Ham Gar

Dekho Ab Khulgaya Beti Yahi Zindaa(N) Ke Dar

Saare Gham Ammu Ko, Bataana Meri Dukhiyaa

Na Milega Yahaa(N) Ab Baba Ka Sina



Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,

Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na

Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na



7. Tujhe Sine Pe Sulati Rahi Baba Ke Baad

Maut Tak Teri Phuphi Ko Ayegi Teri Yaad

Kaise Wapas Jaye, Wo Phir Karbobala Ko

Rehgayi Qayd Mei Ghazi Ka Nagina



Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,

Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na

Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na



8. Ay Hawaao(N) Meri Bachi Ko Sunaana Lori

Kardiya Tere Hawaale Maine Apni Beti

Rakhna Ay Zindaa(N) Tu, Khayaal Aaj Se Uska

Mei(N) Usse Chor Ke Jaati Hu(N) Madina



Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,

Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na

Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na



9. Ay "Tejani" Ye Sada Thi Ghamzada Maadar Ki

Aaj Ke Baad Na Phir Saaye Mei Mei(N) Jaaungi

Dhoop Mei Sota Hai Jo, Mera Nanna Sa Asghar

Har Gardi Roungi, Bichri Jo Hazeena



Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,

Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na

Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na