Write-Up
Anjaam-e-wafa kya hai, ye socha nahi karte
Hussaini kabhi haalat se, sauda nahi karte
Ye rasm sikhaaye hai Hussain ibn-e-Ali ne
Sar sajde mei ho to khanjar se daraa nahi karte

(Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai) x2

1. Ye aza naslo(n)
Mei basaayi hai
Ham hussaini hai

(Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai) x2

2. Maut se darte nahi(n)
Kyu(n) ke hamko hai yaqee(n)
Khuld-e-momin hai yahi
Karbala ki sar zameen
Ye sada saare, momino(n) ki hai
Hum hussaini hai

(Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai) x2

3. Dars ye hamko mila
Jaise rab ne khalq kiya
Har gari hai ashura
Har zamee(n) hai karbala
Ab jalalat khu(n), ki ye Kehti hai
Ham hussaini hai

(Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai) x2

4. Qatl ho jayei(n) jo ham
Na rukenga ashk-e-gham
Har gari har ik qadam
Na jukenga ye alam
Dekhlo taaqat, jo hamari hai
Ham hussaini hai

(Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai) x2


5. Hai hamara khu(n) rawaa(n)
Qatl hote hai jawaa(n)
Ruk nahi sakti kabhi
Hai azaayi ki azaa(n)
Honge fathe-mand, khuld hamari hai
Ham hussaini hai

(Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai) x2

6. Bachpane mei loriyaa(n)
Bas sunaati thi ye maa(n)
Hai ay beta teri jaa(n)
Sadqa-e-shaah-e-zamaa(n)
Khubi ye maa(n) ne, bhi sikhaayi hai
Ham hussaini hai

(Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai) x2

7. Maarna chaho agar
Yaad rakh lo yeh khabar
Aage barhke maut se
ham milayenge nazar
Hamko zahra ki, Rehnumaayi hai
Hum Hussaini hain

(Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai) x2

8. Ghazi ki ye darsagaah
Se sabak hasil huwa
Istarha ehle kisa
Ke bano tum bawafa
Roz-e-awwal se, bawafaayi hai
Ham hussaini hai

(Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai) x2

9. Hai Tejani martaba
Momin-e-Shabbir ka
Hai hussaini jis jaga
Hai wahaa(n) rab ki raza
Ye tamanna to, fatema ki hai
Ham hussaini hai

Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai
Ham Hussaini hai, Ham hussaini hai, Ham hussaini hai