Write-Up
Inna lillahi wa inna ilayhi raajeoon
Ridan bi qadhaaihi wa tasleeman li amrih

(Haaye asghar, haaye asghar, haaye asghar, haay haay asghar) x2

Mein qadam aage barhau(n), ya murh ke ran mei chalu(n)
Kistarha se Ali Asghar ko, khayme mei laau(n)

1. Bohot ajeeb tumhaari hai rasm karbobala
Ke che maheene ke bache bhi hote hai zibha
Haay mere laal pe kissi ne rahm na khaaya
Huwa tha teer se sar uska haaye tan se juda

Mein qadam aage barhau(n), ya murh ke ran mei chalu(n)
Kistarha se Ali Asghar ko, khayme mei laau(n)

2. Ye khun haatho(n) mei mere hai itna pakiza
Ke aasmaan-o-zamee(n) ne usse inkaar kiya
Wo nanne laash ke dil ke lahu ka har qatra
Khud apne kaampte haatho(n) se usko mu(n) pe mala

Mein qadam aage barhau(n), ya murh ke ran mei chalu(n)
Kistarha se Ali Asghar ko, khayme mei laau(n)

3. Pisar ki laash ko na dekh payengi madar
Bechaini se wo khari thi jo khaymei(n) ke dar par
Mei kistarha se batawunga usko ab jaakar
Na eik gunt bhi paani huwa tha muyassar

Mein qadam aage barhau(n), ya murh ke ran mei chalu(n)
Kistarha se Ali Asghar ko, khayme mei laau(n)

4. Tumhi ho shahid mere ay mere rabb-e-ulaa
Hussain ne teri khatir kiya hai sabko fida
Abbas sogaya bazu bina lab-e-darya
Nikala sina-e-Akbar se mene bhi neza

Mein qadam aage barhau(n), ya murh ke ran mei chalu(n)
Kistarha se Ali Asghar ko, khayme mei laau(n)

5. Qadam ko aage barhatu(n) hu(n) leke ism-e-jali
Mujhe khabar hai ke ye hai Allah ki marzi
Magar mei dekh raha hu(n) rabaab dar pe khari
Mei kistarha se dikhawunga unko laash yahi

Mein qadam aage barhau(n), ya murh ke ran mei chalu(n)
Kistarha se Ali Asghar ko, khayme mei laau(n)

6. Mujhe ye dar hai ke gar ran ko leke jawu(n) usse
Kahaa(n) hai turbat-e-asghar har eik dekhenge
Agar jamaa na huwe saare sar shaheedo(n) ke
Adu ye bache ka sar qabr se nikaalenge

Mein qadam aage barhau(n), ya murh ke ran mei chalu(n)
Kistarha se Ali Asghar ko, khayme mei laau(n)

7. "Tejani" jhele bohot gham Hussain ne dil par
Magar ye saare masaaib se aur kahi barhkar
Tha sab se zyaada kathan waqt haaye ye manzar
Dikhaya shah ne jab maa ko lasha-e-asghar