Mazloom e Karbala Ki Azadar Aa Gai
speaker_notes
Write-Up
Ghairat e Mustafa (saww) Be Rida Aa Gai
Bint e Sher e Khuda (as) Be Rida Aa Gai
Mazloom e Karbala (as) Ki Azadar Aa Gai
Zainab (sa) Barehna Sar Jo Bazaar Aa Gai
1) Talwaar Ke Baghair, Larungi Main Aesi Jang
Khutbay Parhungi Aesay, Ke Dushman Bhi Hongain Tang
Daikho Hussain (as) Tum Bhi, Hamaray Jihad Ko
Zainab (sa) Hai Aj Ban Ke, Alamdar Aa Gai
2) Zainab (sa) Ne Zindagi Mein, Na Daikhi Koi Khushi
Roti Huwi Woh Shaam Ki, Raahon Mein Mar Gai
Tanha Lahad Main Bhai Ko, Rone Ke Waste
Sarkaar e Panjetan Ki, Woh GhamKhaar Aa Gai
3) Jis Dum Utha Yeh Shor Ke, Pyaase Ko Maar Lo
Jaldi Karo Nabi (saww) Ke, Nawasay Ko Maar Lo
Sun Kar Yeh Shor Dhundti, Tanha Hussain Ko
Maqtal Mein Bint e Haider e, Karar (as) Aa Gai
4) Chehlum Ko Karbala Mein, Jo Pohancha Tha Qaafla
Zainab (sa) Nay Keh Kay Naaqey Say, Khud Ko Giraya Tha
Badley Chuka Ke Baba Ke, Saarey Mairay Hussain (as)
Chehlum Mananay Aap ki, Zawaar Aa Gai
5) Mehshar Kay Roz Aayegi, Jab Naayib e Batool
Tanweer Yeh Kahaingey, Khuda Se Mairay Rasool
Zinda Rakhai Hain Jis Nay, Iraade Hussain (as) Ke
Ya Rab Woh Mairay Dee(n) Ki Madadgaar Aa gai
format_list_bulleted
More From This Album