Write-Up
Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho
●Uthay Hain Hath Khudaya Is Dua Kay Liye
Naseeb Ho Safar e Ishq Karbala Kay Liye
●Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho
Phir Laut Kar Wahan Say Ana Naseeb Ho
●Ankhon Ko Jab Bhi Ashk, Bahana Naseeb Ho x2
Aale Nabi Ke Ghum Ka Bahana Naseeb Ho
●Aisa Dar e Hussain Pe, Sajda Ho Akhri x2
Phir Mujhko Apna Sar Na Uhana Naseeb Ho
●Parvardigaar Thokarein, Dar Dar Ki Kab Talak x2
Ab Mustaqil Najaf Main Thikana Naseeb Ho
●Jaisa Mila Naseeb Se, Ummul Baneen ko x2
Ab Kya Kisi Ko Aisa Gharana Naseeb Ho
●'Mehshar' Ye Arzoo Hai Ke, Be Ghusl o Be Kafan x2
Karbobala Ki Teh Me Samaana Naseeb Ho
●Ansoo Girey Thay Bali, Sakina Ke Jis Jagah x2
Apna Wahan Pay Khoon Bahana Naseeb Ho
●Yeh Keh Kay Shah Nikle, Mazaar e Rasool Se x2
Pardes Main Kafan Mujhey Nana Naseeb Ho
●Asghar Hai Meray Haath Bandhay Kehti Thi Rabab x2
Kaise Tumhe Galey Say Lagana Naseeb Ho
●Mashkiza Lekay Roza e, Abbas Kay Qareeb x2
Sab Zairo(n) Ko Pani Pilana Naseeb Ho
●Ek Sar Burida Lashe Nay Bachi Ko Di Dua x2
Zindaa(n) se Tujh Ko Laut Ke Ana Naseeb Ho
●Nazdeek Khaima Gaah, Sakina Ki Yaad Mein x2
Sham e Ghareeban Shamma Jalana Naseeb Ho
●Sajjad Shaam Tak Yehi, Kartey Rahey Dua x2
Chaadar Mujhe Phuppi Ko Urhaana Naseeb Ho
●Aey Kaash Phir Se 'Mir Takallum' Furaat Par
Mehdi Ko Sheh Ka Noha Sunana Naseeb Ho