Write-Up
(Intro:)
Jab huay baazu e Abbas qalam, darya par
Gir ke thanda hua, Hazrat ka alam, darya par
Gharq e khoon hogaya, wo behr e karam darya par
Ghul tha zakhmi hua, saqqa e haram, darya par
Mashk ko daanton mein, pakrey yu(n) laata hai
Dahan e Sher mein, jis tarha shikaar aata hai
Al gharas laasha e Abbas pe aaey Mola
Sar ko zaanu pe, rakha aur yeh ro ro ke kaha
Bhaayi to aaj humey, kehdo Khudaraa bhaiyya
Nazza mein bhaayi ko, Abbas ne bhaayi bola
Aakhri saans li, aur daar e fanaa chor diaa
Bhaayi ne bhaayi ki, aaghosh mein dam tor diaa
Abbas haaye Abbas
Hazrat se juda hogaya, Abbas sa bhaayi
Pardes mein looti gayi x2 Haidar ki kamaayi
Hazrat se juda hogaya, Abbas sa bhaayi
1) Sheh ne yeh kaha laasha e Saqqa e Haram pe
Baba ki tarha tum bhi, juda hogaey hum se
Do baar yateemi meri, behnon pe hai aayi
2) Mazloomi se maqtal mein chalaa hi nahi jaata
Jab khaak pe girtey hain, utha bhi nahi jaata
Ghazi ki shahadat ne, kamar aysi jhukaayi
3) Bachi ne kaha Shaah se, farz apna nibhaaoon
Nazdeek agar hai to, basti to main jaaoon
Ammu ka kafan laaeygi, Ammu ki fidaayi
4) Abbas ke bachon se, main sharminda rahoongaa
Maqtal se uthaa laaya hoon, har aik ka laasha
Afsos ke Abbas ki, maiyyat na uthaayi
5) Khat khaak pe detey they, qadam zeen se jis ke
Maidaan mein us Sher ke, itney huay tukrey
Sajjad ne chaadar mein wo, maiyyat hai uthaayi
6) Darya pe tarapney lagaa, yeh dekh ke manzar
Yaad aaney lagaa seena e, hum shakl e Payambar
Jab mashk katey haath se, Mola ne churaayi
7) Sadiyon se hai taari, yeh fizaa ranj o alam ki
Yeh chaand jo ohjal hua, nazron se haram ki
Phir Saani e Zahra ne, kahan Eid manaayi
8) Ammu ki judaayi pe bauhat, roay hai Baba
Samjhaati hai ro ro ke, yeh bachon ko Sakina
Ab denaa nahi koyi bhi, paani ki duhaayi
9) Har maatmi seeney mein bapaa hoga talaa tum
Is saal tera jaana, to mushkil hai "Takallum"
Nohay ki magar Karbobala tak hai rasaayi