Write-Up
Haye beti Ali ki..
Reh gayi beti Ali ki, gham uthaanay ke liay
Zakhm khaaney ke liay x2 Aa(n)su bahaney ke liay
1) Waaris e Tatheer be parda khari hai dasht mein x2
Aik chaadar bhi nahi hai x2 Sar chupaaney ke liay
2) Laayi thi do phool apni, goud mein Umme Rabab x2
Aik maqtal ke liay ik qaid khaanay ke liay
3) Dhoodney ke liay nikley hain aada pusht e khaima ki taraf x2
Laasha e besheer naizey par uthaaney ke liay
4) Nok e naiza par uthaakar shaam ke bazaar mein x2
Shimr lehraata tha chaadar dil dukhaaney ke liay
5) Aatey jaatey jisko dekho zulm karta hai shaqi x2
Pusht e Abid reh gayi hai, taazianey ke liay
6) Baarhaa Zainab hai guzri shaam ke bazaar mein x2
Sayyad e Sajjad ko, zinda bachaaney ke liay
7) Rotey rotey jaa rahi hai, bachi suay Al-Qama x2
Neel rukhsaaron ke Ghazi ko dikhaaney ke liay
8) Gir ke Akbar ne sadaa di, jab to Zainab ne kahaa x2
Bhaayi main bhi chal rahi hoon, laash uthaaney ke liay
9) Maagney aaya hai bachi ko kaneezi mein laeen x2
Ab to ajaao merey Ghazi bachaaney ke liay
10) Thar tharaa kar reh gayi qabr e Nabi "Yaasir Raza" x2
Aayi jab rudaad e gham, Zainab sunaaney ke liay