Write-Up
Pathar hataa ke laash se, Zainab ne di sadaa
Kya tum mere Hussain ho
Kaise parey hain jism ke, tukrey judaa judaa
Kya tum mere Hussain ho
Haye haye mere ghareeb ka, kya haal kar diyaa
Ghoron se laasha dasht mein paamaal kar diyaa
Pehchaanu kis tarhaa se, badan se hai sar judaa
Kya tum mere Hussain ho
Pehchaan lungi main tumhey, awaaz mujh ko do
Dam tortey jo dekhaa hai, karyal jawaan ko
Aankhon mein ab behen ki, ujaala nahi rahaa
Kya tum mere Hussain ho
Pehchaan naa tumharey liey, bhi kathin huwaa
Dekhaa hai pehli baar jo, Zainab ko be ridaa
Aati hai sharm jald, bataa do mujhey zaraa
Kya tum mere Hussain ho
Karta raha hai zibha ki, koshish kahaan kahaan
Khanjar ke hain kati huwi, gardan pe bhi nishaan
Kaata hai kis tarhaa se, sitamgaar ne galaa
Kya tum mere Hussain ho
kya legaaey hi loot ke, sab kuch yeh ashqiyaa
Tan par bachaa hai maa ka yeh, kurtaa silaa huaa
Nikley they jab khayaam se, yeh haal to na thaa
Kya tum mere Hussain ho
Aahistaa se jawaab do, hai saath uski maa
Kya ab tumhaarey paas hai, maasoom be zabaan
Nanna sa laasha kiska yeh, seeney pe hai rakhaa
Kya tum mere Hussain ho
Dekho bandhi hain haathon mein, merey bhi rassiyaan
Ab aur lo behen ki naa, ghurbat ka imtehaan
Kuch do jawaab do mujhey, Sughra ka waastaa
Kya tum mere Hussain ho
Wo bhi tumhaari tarhaan se, zakhmi na ho kahin
Dil ko merey yeh lagtaa hai, maujood hai yehi
Aati hai maa ke roney ki, nazdeek se sadaa
Kya tum mere Hussain ho
Zainab pukaari 'Mir Takallum' ba sad malaal
Kya martey waqt bhi merey pardey ka tha khayaal
Hai muttiyon mein kis liey, yeh khaak e Karbala
Kya tum mere Hussain ho
Pathar hataa ke laash se, Zainab ne di sadaa
Kya tum mere Hussain ho