Umm-ul-Baneen Ne Paalaa Hai

Write-Up
Kehti thi laal meray
x2
Shabbir tera aaqa hai
Is tarha se Ghazi ko Ummul Baneen ne paala hai
x2
Jab waqt aaye mushkil
Zehra ke ladle par
Shabbir ki hifazat
Karna tu dhaal bankar
Yeh maan ki hai waseeyat
x2
Aur yehi hukm mera hai
Is tarha se Ghazi ko Ummul Baneen ne paala hai
x2
Is ghar mein tu humesha
Bankar ghulam rehna
Aulad-e-Fatima ko
Bhai behen na kehna
Khaakar qasam tu kehde
x2
Maan tujh say mera wada hai
Is tarha se Ghazi ko Ummul Baneen ne paala hai
x2
Tujhko namaz-e-shab mein
Manga hai khud Ali ne
Rab se duaein ki hain
Allah ke wali ne
Tu hai dua Ali ki
x2
Tu aarzu-e-Zehra hai
Is tarha se Ghazi ko Ummul Baneen ne paala hai
x2
Mainay jo kuch kaha hai
Rakhna wohi irada
Aal-e-Rasool se tu
Aisay nibhaana wada
Main fakhr se kahoon ke
x2
Abbas mera beta hai
Is tarha se Ghazi ko Ummul Baneen ne paala hai
x2
Kitna hai naaz tujhpar
Zehra ki betiyon ko
Hai aas tujhpe beta
Kis darja bibiyon ko
Saydania ko beta
x2
Tujhpar bohat bharosa hai
Is tarha se Ghazi ko Ummul Baneen ne paala hai
x2
Karbobala ki khatir
Paala hai tujhko mainay
Sanchay mein khuda wafa ke
Dhaala hai tujhko mainay
Jo teer Sheh pe aaye
x2
Tujhko jigar pe khaana hai
Is tarha se Ghazi ko Ummul Baneen ne paala hai
x2
Ummal Baneen jaisi
Maan par salaam Safdar
Pursa main deraha hoon
Farshe aza bichakar
Tejani hain baradar
x2
Inke labon pe noha hai
Is tarha se Ghazi ko Ummul Baneen ne paala hai
x2
Ummul Baneen ne paala hai
x2