Write-Up
Baba Dekho ye Teri Jaan hai
Mu pe tamachein ka nishaan hain
Haye Baba
x3
Neze ke tale beyth ke roti hai sakina kyun baba
x2
karlin hain bund ankhein
Takleef agar hoti thi
mujhko kissi pehlu
Ankhon mein meri dekh nahin
patay thay ansun
Behta hai meri ankhon say
ab ashkon ka darya
kyun baba
Neze ke tale beyth ke
roti hai sakina
kyun baba
karlin hain bund ankhein
kyun baba
Be rehm hai kitni ye
laeeno ki nigahen
Kartay hain sitam bharti hoon
jab dard sey aahein
Hota hai kissi qaid mein
ronay pe bhi pehra
kyun baba
Neze ke tale beyth ke
roti hai sakina
kyun baba
karlin hain bund ankhein
kyun baba
kya in mein koi sahibe
aulad nahin hai
Kya in Ka makan bachon se
abaad nahin hai
Bachpan pe bhi aada ne
taras kuch nahin khaaya
kyun baba
Neze ke tale beyth ke
roti hai sakina
kyun baba
karlin hain bund ankhein
kyun baba
Baba mujhe zalim ke
tamacho se bachalo
Aaghosh mein ab apni
sakina ko uthalo
Faryaad karoon kissay
koi bhi nahin apna
kyun baba
Neze ke tale beyth ke
roti hai sakina
kyun baba
karlin hain bund ankhein
kyun baba
Yeh shimre laen ghur kiya
kab tak mujhay dega
Yeh zulm o sitam mera jigar
kaisay sahay ga
Ghut ghut ke museebat se
main marjaoon kahin na
kyun baba
Neze ke tale beyth ke
roti hai sakina
kyun baba
karlin hain bund ankhein
kyun baba
Yaad ata hai ammu ka
meray naaz uthaana
Aur aapka woh haathon ke
jhulay mein jhulana
Qismat ne hummay kon sa din aaj dikhaaya
kyun baba
Neze ke tale beyth ke
roti hai sakina
kyun baba
karlin hain bund ankhein
kyun baba
Chalti hoon to dukhtay hain
bohat paaon ke chalay
Kantay jo chubhay hain
to inhein kon nikalay
Jalti hai zameen kaisay
chaloon dekhlo baba
kyun baba
Neze ke tale beyth ke
roti hai sakina
kyun baba
karlin hain bund ankhein
kyun baba
Rassi ki jo gardan mein
chubhan hoti hai baba
Main saans loon kaisay ke ghuttan
hoti hai baba
Boloon bhi to kis tarha ke
bola nahin jaata
kyun baba
Neze ke tale beyth ke
roti hai sakina
kyun baba
karlin hain bund ankhein
kyun baba
Tejani falak ne kabhi
dekha na yeh manzar
Neze pe ho sar baap ka aur
qaid ho dukhtar
Phatta hai Nigar apna
jigar likh ke yeh noha
kyun baba
Neze ke tale beyth ke
roti hai sakina
kyun baba
karlin hain bund ankhein
kyun baba