Write-Up
As-salaam ay maahe gham
Ehle aza, phir agaya, maahe aza, maahe aza

Muharram ka ye chaand agaya

1. Zamin ta arshe Azam sirf ek mahol h gham ka
Nabi ki aal ke ghar men utha h shor matam ka
Nahi bhule ghme Karbala

2. Azadari teri jari rahegi hashr tak mola
Shhe karbobala ki yad men hoga yunhi girya
In ankhon ki h ab ye sada

3. Paye gham aise maayen bachchon ko tayyar Karti hain
Azadari ke sadqe men Naya Mukhtar Karti hain
Ye dete hain adu Ko qaza

4. Ye ayyame aza har ayk Shai se hamko pyara h
Moharram ke liye maaon ne khud bachchon ko waara h
Moharram par h ye Jaa fida

5. Musalsal ghurbate Shabbir par ashkon se muh dhona
Nahi bhulenge ham Sajjad ka is gham men khu Rona
Rahe raushan aza ka diya

6. Jena walon ko rudade ghame Sarwar sunate hain
Nawase ki museebat par Nabi ansu bahate hain
Shareeke gham hain sab ambiya

7. Sukunat pate hain romal men Zahra ke mahram hain
Hamare ashk hi zakhme shhe Wala ke marham hain
Na girye ka ruke silsila

8. Wo teejani akhi hon ya Hilal is amr ko samjhen
Ye tableeghe azaye shh kisi Surat Ni roken
agar Zahra ki chahen dua


Ye Nauha majliso matam salamo soz aur griya
Hamari Jan hain ye sab ham in se hi hain wabasta
Azadari h apni baqa

Lebase sog zebe tan karo gham ki aza'n dekar
Namze ashk par lo majlise Shabbir men jakar
Khuda dega yaqinan jaza

Azakhana shhe di ka sajaya ja Chuka h ab
Musalla farshe matam ka bichhaya ja Chuka h ab
Namaze gham karo sab ada


Paye deene khuda aabad tha Jo kal madine men
Qareebe alame ghurbat moharram ke mahine men
Shhe di ka wo ghar lut gaya