Kya Aap Hi Zainab Hain

Write-Up
Haye Umul Masaib, Aye Zainab E Kubra
x2
Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab hain
x2
Ye hogaya kya hulya
x2
kya aap hi Zainab hain
x2
Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab hain
x2
kyun khaak pe bhaythi hain
kya hogaya shehzadi
kuchh mujhse bhi famayen
kaise hui barbadi
x2
mein kyun nahi pehchana
x2
kya aap hi zainab hain
x2
Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab hain
x2
Main samjha koi bibi
aayi hai paye hajat
main dekh ke ghabraya
allah re ye ghurbat
x2
mujhko na yaqee(n) ayaa
x2
kya aap hi Zainab hain
x2
Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab hain
x2
Yeh soch raha tha main
hai aaj udaasi kyun
Ghar aati nahin waapis
Ahmed ki nawasi kyun
x2
Yeh dekh ke ghabraya
x2
kya aap hi Zainab Hain
x2
Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab hain
x2
Bachay hain meray kyun kar
nazron se nihaan Bibi
Haan Aun o Mohamad ko
Chord aain Kahan Bibi
x2
Bibi na kareyn girya
x2
kya aap hi Zainab Hain
x2
Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab hain
x2
Kyun khaak hain balon mein
Kyun Neel Hain bazu par
Yeh khoon ke qatron se
rangeen Hai kyun chaadar
x2
Ati hain nazar dukhya
x2
kya aap hi Zaynab Hain
x2
Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab hain
x2
Batlaiye shehzadi
kyun aap sisakti Hain
Pardes mein kya guzri
kyun aisay bilakti hain
x2
Yeh zakhm laga kaisa
x2
kya aap hi Zaynab Hain
x2
Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab hain
x2
Bibi se Zafar rokar
kehtay they yeh Abdullah
Tejani bohat muztar
kehtay they yeh Abdullah
x2
Parhti hai Rida noha
x2
kya aap hi Zaynab Hain
x2
Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab hain
x2