Write-Up
Shehenshaah, baadshaah hai wafa, aks-e-Ali, tu hai Abbas
Tu hai baadshaah-e-wafa tu hai shehenshaah-e-wafa
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Tu hai baadshaah-e-wafa tu hai shehenshaah-e-wafa
Abbas ya Abbas
Ya Abbas
x2
Maula hai alam bardaar
Akse Haidere karaar
Sheh ka qafla salaar
Aisa hai tera kirdaar
Insaano malaik kya
Ye to khud khuda bola
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Tu hai Mushkilkusha
Tu hai hajat rawa
Mujhko jo jo mila
Tere dar ki ata
Ya Abbas Ya Abbas
Kul ka kul wafa hai tu
Mani e wafa hai tu
Zainab ki rida hai tu
Zahra ki dua hai tu
Bus aisa sabak dekar
Madar ne tujhe paala
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Tu hai baadshaah-e-wafa tu hai shehenshaah-e-wafa
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Manga tha jo Haider ne
Bawaqte namaze shab
Ik beta mujhe dede
Karbal ke liye ya rab
Hafiz bibiyon ka aur
Sheh ka jo kamar hoga
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Salaare qafla
Sakina ka chacha
Haan Zainab ki rida
Duae Sayyeda
Ya Abbas Ya Abbas
Kitna hogaya raazi
Tujhse Akbare mabood
Tere dar se jo mangein
Deta hai tu la mehdood
Tu Babul Hawaij hai
Aisa hai laqab tera
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Tu hai baadshaah-e-wafa tu hai shehenshaah-e-wafa
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Jata hi nahi koi
Maidaa(n) mei bina talwaar
Hai tareekh mei bus ik
Betegh jo kiya tha waar
Dushman peechhe hatne lage
Pani par kiya qabza
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Abbas bawafa
Qatile nainawa
Zabihe bekhata
Shaheede Karbala
Ya Abbas Ya Abbas
Haan bali Sakina ka
Kuza mun se jab chhuta
Paani ret par tune
Jab dekha to dil tutta
Ghorde ka badal kar rukh
Chalay jo sue dariya
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Tu hai baadshaah-e-wafa tu hai shehenshaah-e-wafa
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Sheh ne dekha khayme ke
Dar se khun me dduba alam
Kuza chhid gaya hai aur
Hogaye hain bazu qalam
Zeen se mun pe girta hai
Ghorde se mera bhayya
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Jab tera khun baha
Bazu bhi katt gaya
Zeen se mun par gira
Sheh ne di ye sada
Ya Abbas
x2
Jab bhi zindagi mein ho
Afat to na ho mayoos
Wada hai "Tejani" ka
Hoja ghazi se manoos
Jab bhi ho koi mushkil
Dil se bus sada dena
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2
Tu hai baadshaah-e-wafa tu hai shehenshaah-e-wafa
Abbas ya Abbas
x3
Ya Abbas
x2