Write-Up
Bibi Fatemah Zahra
x6
Ashkon ka wasta sun lejiye dua
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra
Madar hain shahewala ki aap hi to bibi,
Jinse kaha khuda ne ho ja tu mujhse razi,
Unke hi sadqe bibi dije humein riza,
Tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
Ashkon ka wasta sun lejiye dua
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra
Bechain hai tabiyat dil par nahi hai qabu,
Hamne bahaye lakhon sheh ke alam me ansu,
Mushkil me ansuwon ki ab dejiye jaza.
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
Ashkon ka wasta sun lejiye dua
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra
Purhaul hain fazayen, har samt hain balayen,
Bibi hamari poori hoti nahi duwayen,
Karte hain har ghadi bas hum yahi buka.
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
Ashkon ka wasta sun lejiye dua
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra
Beemariyon ne aysa aakar hame hai ghera,
Jaise ke zindagi me apni hua andhera,
Bibi ba-sadqe aabid dije hame shifa,
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
Ashkon ka wasta sun lejiye dua
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra
Shabbeer ka gala jo shimre-la'en ne kata,
Dete hain waasta us sookhe hue gale ka,
Ho jaye apni hasti se door haadsa.
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
Ashkon ka wasta sun lejiye dua
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra
Jispar baha rahi thi aise sakina ansu,
Nehre-furat par jo kat-kat gaye thhe bazu,
Sadqe me unke kije qoowat hame ata,
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
Ashkon ka wasta sun lejiye dua
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra
Jisme utaar di thi zalim ne eik barchi,
Akbar ke zakhmi seene ka waasta hai bibi,
Akbar sa hamko jazba miljaaye raaziya
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
Ashkon ka wasta sun lejiye dua
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra
Teere-sitam se jisko tha Hurmula ne cheda,
Nanhe se us gale ke sadqe me bibi zehra,
Bacchon ko hum sabhi ke ab dije hausla,
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
Ashkon ka wasta sun lejiye dua
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra, haan
tere dar pe agaye hain bibi fatemah Zahra
Tauqeer ye Sharaf ho “Tejani” ko bhi hasil
Fauj-e-imam-e-mahdi Mei ho wo bhi shamil
Miljaaye naasiro(n) ka unko bhi martaba

x2