Write-Up
Ya Hussain Ya Hussain
x3
Zahra ke dil ke cheyn Haider ke noore ayn
Ye Jaan Qurban Tujhpar Ay Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
x4
Hum karenge Zahra se wafadari
Na kabhi bhi chorenge azadari
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Zindagi Zindagi Zindagi hai azadari
Azadari hai azadari
x2
Zulm ke aagay kabhi jhuk na saka hai parcham,
Bekaso ka Matam,
Yaad hai aaj bhi wo aankhein hui Jo purnam,
Wo bahatar ka gham,
Karti thi bibiya Jo dasht me
x2
rokar zaari.
Zindagi Zindagi Zindagi hai azadari
Azadari hai azadari
x2
Khaak hai karbobala Aur hamari wo shifa,
La maraz Ki hai dawa,
Hogaye murday bhi is khaak ko malkar zinda,
Ye hai Zehra Ki jaza,
Jaan be jaan thi Jo zindagi
x2
wo hai baaqi.
Zindagi Zindagi Zindagi hai azadari
Azadari hai azadari
x2
Huwa nezay pe Jo Quran bayan e sarwar,
Dekhta hai lashkar,
Banta hai moti lahu sheh ka zameen per girkar,
Aur yazeedi Tujhper,
Lehjae Ibne Ali abuturab
x2
hai bhari.
Zindagi Zindagi Zindagi hai azadari
Azadari hai azadari
x2
Baad Marne ke karunga Mai ye izhar e hussain,
Hojau waar e hussain,
Eik din qaum pukaregi hamaray hai Hussain,
Aya dedar e hussain
Maut bhi zindagi se honay lagi
x2
hai pyari
Zindagi Zindagi Zindagi hai azadari
Azadari hai azadari
x2
Hai namaz Ibne Ali ki woh vilayat e khuda,
Aur rab ne di Sada,
Tere is sajde ne Islam ko dedi hai shifa,
Ae mere sabr e wafa,
Eik sajda huwa hai Deen e Nabi
x2
per bhari
Zindagi Zindagi Zindagi hai azadari
Azadari hai azadari
x2
Jaengay Ziarat e Shabbir karay shukr e khuda,
Ae mere rabb e ulaa,
Raasta Jannat-e-firdous ye lejaega,
Saath sarwar Ki dua,
Kat gaye haath bhi toh hogi sada
x2
ye jaari.
Zindagi Zindagi Zindagi hai azadari
Azadari hai azadari
x2
Mere is Dil me Hussain Ibne Ali rehte hai,
Ashk ye kehte hai,
Khoon ke dhaare mere jism se Yun behte hai,
Ye sada detay hai,
Karbala ke lahu ne kardi
x2
wafa bedaari
Zindagi Zindagi Zindagi hai azadari
Azadari hai azadari
x2
Pehen ke touq diya khutba ye sajjad ne jab,
Hogaya kaisa ghazab,
Kya qayamat ka samah honay laga tha wo ajab,
Kehti hai ye zainab
Meri Aseeri ka khutba hai ye
x2
sab per bhari
Zindagi Zindagi Zindagi hai azadari
Azadari hai azadari
x2
Sunke “Akbar” duaen deti hai bibi Zehra,
Khoob Jo tunay likha,
Hoga Shabbir ke Rozay ke darmiyan Nauha,
Wa hussaina Ki sada,
Madar-e-shaah se pawoge jazaa “Tejani”
Zindagi Zindagi Zindagi hai azadari
Azadari hai azadari
x2