Ya Zainab (SA), Ya Abbas (AS)

Write-Up
1. Kon aati hai akeli hai andhera
Jiska raakh se hai siyaah chehra
Jiske sar pe na bacha hai koi parda
Aage barh rahi hai wo janib-e-darya

(Ya Zainab) x6

2. Kya na pehchaana mujhko ay mere bhayya
Khaymo(n) ke dhuwe(n) se hai mu aabdida
dekho ghaur se Mei Hu zainab tumhaari
Tanha pehre pe khari hu leke neza

(Ya Abbas) x6

3. Ay khuda na nikaalo aankho(n) se ye teer
Dekh na sakunga mei teri tasweer
Nange sar khari hai waris-e-tatheer
Maarte hai adu unko leke zanjeer

(Ya Zainab) x6

4. Chaahti hu ke bataau(n) dukh hamarey
Par ye ddar hai ke ruk na jaayei(n) teri saansein
Sirf itna bataungi ay ghazi
Kaash bhaayi mere tum maare na jaate

(Ya Abbas) x6

5. Hai sawaal lab pe mere ay meri behna
Kiske sine pe ab soeygi Sakina
Kon hoga Haaye haram ka aasra
Kon hoga bibiyo(n) KA zamin-e-parda

(Ya Zainab) x6

6. Kistarha se batau(n) ye ay baraadar
Sorahi hai khaak par shaah ki dukhtar
Aag se JALGAYA hai uska saara tan
Shimr ne kenchliye kaano(n) se gauhar

(Ya Abbas) x6

7. Mere bazu na kat’te agar ay dukhiya
Mei tujhe Shimr ke durro(n) se chupaata
Apni maa(n) ki qasam sheh ko mei bachaata
Qafela shaam mei Dar ba dar na phirta

(Ya Zainab) x6

8. Saari umeedein thi tere bazuo(n) par
Na bacha tu na rahe qasim-o-akbar
Ho raha tha jab paa-e-maal laash-e-sarwar
Mei sada de rahi thi tujhko ro rokar

(Ya Abbas) x6

9. Mei yahi dekh ke hu(n) bohot sharminda
Aag ki bu se bhari hai teri abaa
Zakhmo(n) se surkh hai jo badan tumhara
Dekh ke haal tera haste hai aada

(Ya Zainab) x6

10.Ay Tejani thi yahi zainab ki fughaa(n)
Mere ghazi tere bazu pe hu(n) qurbaa(n)
Rehgaye HEIN haram be sar-o-samaa(n)
Alvida bhayya mere jaati hu(n) zindaa(n)