Write-Up
Jab Aseeran-E-Karbala Qayd Se Rihaa Hokar Karbala Ponchey, To Bibi Zainab Ne
Apne Bhaayi Ki Qabr-E-Mutahhar Par Girya Karte Huwe Kaha, Ke Ay Mere Maa-
Jaaye, Ham Teri Sakina Ko Sham Ke Zindaan Mei Chor Aaye Hain, Aur Teri Behen
Tujhse Sharminda Hai. Mujhe Maaf Karna Bhaayi, Mujhe Maaf Karna



(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



1. Maqtale Karbobala Mei Hai

Behen Nawhagar

Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



2. Guzri Maasum Pe Kuchh Aisi Musibat Bhayya

Maut Mei Dhhal Gayi Bachi Ki Naqaahat Bhayya

Khoke Pardes Mei Ayi Hun Amaanat Bhayya

Iski Tanhaayi Pe Phat Ta Hai Mera Qablo Jigar
Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



3. Pursa Lo Apni Sakina Ka Meray Maa Jaey

Jisko Armaan Tha Usko Hi Nahin La Paaey

Ghar Chalo Kehti Rahi Aakhri Dum Tak Haaey

Usko Behlaati Rahi Jaldi Chalengay Hum Ghar

Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



4. Dil Ko Bechayn Kiye Deti Hain Uski Yaaden

Hum Aseeron Ki Zubaano Pe Hai Uski Baaten

Yaad Mei Uski Guzarti Nahi Apni Raatein

Uski Tasveer Phirakarti Hai Ankhon Mei Magar
Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



5. Bhayi Jaa(N) Kuchh To Kaho Seene Mei Dil Hai Betaab

Bibiyan Qabron Pe Baythi Hain Bachhashme Poor Aab

Ghashh Paghashh Khati Hain Besheer Ki Turbat Pe Rabaab

Kuchh To Bolo Unhe Sumjhaaun Bhhalaa Kya Kehkar
Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2

6. Kaun Pardes Mei Hai Qabr Pe Jaane Vaalaa

Kaun Hai Shaam Dhalle Shamma Jalaane Vaalaa

Koi Humdard Nahi Gham Ka Battane Vaalaa

Mere Maajaae Bohot Khaai Hai Humne Thokar

Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



7. Bhaijaan Apko Bhejja Hai Sakina Ne Salam

Apne Ammu Ke Liye Hai Ye Bhhatiji Ka Payaam

Bhujjh Gai Pyaas Shikaayat Ka Nahi Koi Kalaam

Paani Ke Vaaste Sharminda Hai Ammu Kyun Kar
Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



8. Ziyaarat E Naahiya Mein Kartay Hain Yeh Noha Imam

Haey Us Neelgoo(N) Rukhsar Par Ho Mera Salaam

Rang Sayli Sey Badaltay Rahay Jiskay Taa Shaam

Mehdi E Deen Ko Rulaata Hai Ussi Gham Ka Asar

Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



9. Shaam Kay Takht Par Baitha Tha Yazeed (La) E Azlam

Imtehaan Aapki Ulfat Ka Liya Tha Jis Dam

Rakhliya Paalne Vaaly Ney Muhabbat Ka Bharam

Voh Tarapney Lagi Daaman Mein Liey Aapka Sar

Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



10.Nanhi Sey Jaa(N) Ney Uthaee Hai Jafaaein Kya Kya

Ik Sharaabi Ney Kaneezi Kay Liey Jab Maanga

Mera Sajjad Bhi Ghairat Sey Lahu Rou Diya Tha

Bari Hasrat Sey Humay Dekh Rahi Thi Muztar

Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



11.Meri Khuddaar Sakina Ney Yehi Mujhse Kaha

Aey Phuppi Jab Meray Baba Ko Kafan Milna Saka

Yeh Phatta Kurta Mera Hoga Kafan Behr-E-Khuda

Khoon Bharay Kurtay Mein Hai Dafan Meri Khasta Jigar

Maaf Karna Mujhe, Maaf Karna


(Chhord Kar Aayi Hun, Zindaan Mei Sakina Ko, Maaf Karna Mujhe , Maaf Karna) X2



12.Aey Nigaar Aaj Bhi Hai Shaam Misaal E Zindaa(N)

Maqtal E Karbobala Mein Wahi Faryaad O Fughaan

Kijiey Nohay Mein Tejani Ussi Gham Ka Bayaan

Aaj Bhi Kehti Ho(N) Jaisay Yehi Zainab Rokar