Write-Up
Dono bazu ko kataaye, teen din ki pyaas hai
khayme tak pohnche ye paani, dil mei bus ik aas hai
rehgayi uski tamanna, rab ne khaayi ye qasam
aaj se Baabul hawaaij, mera Abbas hai

(Baabul hawaij ay Maula Ghazi, aaye hai dar pe tere sawaali) x2

1. hamein khabar hain, Rad nahin hogi
Kabhi is dar se, dua hamari
Is liye Aaye, hai aas lekar
Ay mere Maula, tumhaare dar par
Baabul hawaaij, ay maula ghazi
Dil mei dua hai aansu hai jaari

(Baabul hawaij ay Maula Ghazi, aaye hai dar pe tere sawaali) x2

2. Ho sheyr tumhi, sheyr-e-khuda ke
Tum bawafa ho, karbobala ke
Dua-e-zahra ke ho asar tum
Ho paasbaa(n) zainab ki rida ke
Baabul hawaaij, ay maula ghazi
Tumhare jaisa nahi(n) hai koi

(Baabul hawaij ay Maula Ghazi, aaye hai dar pe tere sawaali) x2

3. Haatho(n) ko jode, aate hai rokar
Jo bepisar hai, Tumhaare dar par
Unki tamanna, ko rad na karna
Awlaad-e-saaleh unhe ata kar
Baabul hawaaij, ay maula ghazi
Unhi khawateen ki bharde godi

(Baabul hawaij ay Maula Ghazi, aaye hai dar pe tere sawaali) x2

4. Be jurm aseero(n), ko tu riha kar
Maqrooz momin ke qarz ada kar
Amn-o-amaan ka tohfa ata kar
Har ik bala ko, hamse hataa kar
Baabul hawaaij, ay maula ghazi
Kistarha lotenge dar se khaali

(Baabul hawaij ay Maula Ghazi, aaye hai dar pe tere sawaali) x2

5. Sar ko jhukaaye, dil mei hai ye gham
Apne gunah mei, dubte hai ham
Maaf ho jaayein saari khatayei(n)
Ye istighasa hai taht-e-parcham
Baabul hawaaij ay maula ghazi
Tere hawaale taqdeer meri

(Baabul hawaij ay Maula Ghazi, aaye hai dar pe tere sawaali) x2

6. Saare jahaa(n) mei, hota hai hamla
Har ik taraf hai, lahu ka darya
Yemen-o-bahrain, shaam aur iraq bhi
Hai aaj tak munhadim baqiyyah
Baabul hawaaij, ay maula ghazi
Jald hojaaye, zahoor-e-mehdi

(Baabul hawaij ay Maula Ghazi, aaye hai dar pe tere sawaali) x2

7. Ham jee rahei(n) hai, Is aasre par
Teri ziyarat ho zindagi bhar
Jinke dilo(n) Mei hai ye tamanna
Dekho wo roza tumhara aakar
Baabul hawaaij ay maula ghazi
Dil Mei dua hai aansu hai jaari

(Baabul hawaij ay Maula Ghazi, aaye hai dar pe tere sawaali) x2

8. shame ghariban Mei jaise ujri
Zainab-e-muztar haaye akeli
chadar luta kar, wo ban Mei aayi
Unke labon par bas ye sada thi
Baabul hawaaij ay maula ghazi
Aawo bachaawo ay mere bhaayi

(Baabul hawaij ay Maula Ghazi, aaye hai dar pe tere sawaali) x2

9. Hai maula wada, yahi "Tejani"
Rahengi zinda ye nawhakhwaani
Ye nokri ki na intehaa ho
Hamare jeene ki ho kahaani
Baabul hawaaij ay maula ghazi
Ta hashr sheh ki karei(n) ghulaami

(Baabul hawaij ay Maula Ghazi, aaye hai dar pe tere sawaali) x2