Write-Up
Maula, maula, maula, maula mere

Dil ke sultaan, tu hai Quraan
Jism-o-jaan, tujhpe qurbaan
Hai yak zabaa(n), ehl-e-imaan

Maula, maula, maula, maula mere

Ye khoo(n) mei racha basaa ishq-e-ali hi hai, jo har aan labo(n) par eik hi sada hai, (labbayk yam aula) x3

Awwaluna Muhammad, awsatuna Muhammad, akhiruna Muhammad, kulluna Muhammad

(Labbayk ya maula ya maula ya maula) x4
*Ali ya ali*
1. Dood mei ishqe ali maan ne pilaya hai hume
aur phir naade ali pardhna sikhaya hai hume
ddar kabhi ayega na humko na aya hai hume
Maut se jeetna karbal ne bataya hai hume
zindagi dena hai sadiyon se humara shheva
ishqe haider mei bahayenge lahu ka darya
Jaan apni hai nisaar, zindagi tujhpe fida
Maut jab aaye hume, lab pe hogi ye sada

(Labbayk ya maula ya maula ya maula) x4

*Ali ya Ali*
2. Humko hai fakhr ke kehlaate hain hum tere Shia
daste haider ko utha kar ye nabi ne tha kaha
jiska main maula hun uska hai ali bhi maula
aur koi hai nahi pehla issi haidar ke siwa
wo bhardak jaate hain jo karte hain unse nafrat
jo bhi haq mante hain milti hai unko jannat
Jaan apni hai nisaar, zindagi tujhpe fida
Maut jab aaye hume, lab pe hogi ye sada

(Labbayk ya maula ya maula ya maula) x4

*Hussain Sarallah*
3. asre ashur ka hai yaad abhi tak manzar
rukgaya sheh ka badan teeron ke musalle par
shimr ahista chalata tha gale par khanjar
khayme se dekh ke roti thi ali ki dukhtar
ran me pamaal huwa ghordo ke tapo(n) se badan
apne khun se mere maula ne sajaya tha ban
Jaan apni hai nisaar, zindagi tujhpe fida
Maut jab aaye hume, lab pe hogi ye sada

(Labbayk ya maula ya maula ya maula) x4

*Hussain Sarallah*
4. khu(n) me aaluda kharda maula sare dashte qitaal
deke halmin ki sada humse ye pucha tha sawaal
zindagi apni bitaasakte ho tum meri misaal
dete hain hum ye sada aapko Zahra ke laal
aap ka ishq humara hi sahaaraa hoga
hashr tak lab pe musalsal yahi naaraa hoga
Jaan apni hai nisaar, zindagi tujhpe fida
Maut jab aaye hume, lab pe hogi ye sada

(Labbayk ya maula ya maula ya maula) x4

*Ghazi ya Abbas*
5. aaj tak sheh ka alaamdare wafa wo abbas
tishnalab bachhon ka saqqa jo raha wo abbas
neharr pe jisne alam gardh diya wo abbas
jiske bazu bibi zainab ki rida wo abbas
hubahu haidere karaar hai ye shere jari
bibi ne jiskeliye dil se dua mangi thi
Jaan apni hai nisaar, zindagi tujhpe fida
Maut jab aaye hume, lab pe hogi ye sada

(Labbayk ya maula ya maula ya maula) x4

*Ghazi ya Abbas*
6. jaata hai jo bhi ziyarat ke liye karbobala
uska banjaata hai zamin maula Abbas mera
koi mushkil ya pareshaani ho ya ho khattra
sar pe har waqt hifazat ka rahega sayaa
aaj tak hai jo kardha sheh ka muhaffiz bankar
rubaru roza hai phir bhi wo jhukata hai sar
Jaan apni hai nisaar, zindagi tujhpe fida
Maut jab aaye hume, lab pe hogi ye sada

(Labbayk ya maula ya maula ya maula) x4

*Ali ya Sajjad*
7. qayd khane mei pardi hai ye aza ki bunyaad
pehli majlis bapa karwate hain aise sajaad
khun ke aansu ko bahate hain juhin karke yaad
paaon mei berdiyan aur lab pe hai bus ik faryaad
sar ko wo peet ke chillate hain ash shaam ash shaam
hosh urrhjata hai jab sunte hain shabbir ka naam
Jaan apni hai nisaar, zindagi tujhpe fida
Maut jab aaye hume, lab pe hogi ye sada

(Labbayk ya maula ya maula ya maula) x4

*Al-ajal ya Mahdi*
8. subho shaam bhejhte hain tere muhib tumpe Salam
aur dua karte hain ho jald zahoor mere imaam
zulm aur jaur zamaane mei huwa hai ab aam
aapko zalimon ko dena hai unka anjaam
kaash hum apke ansaaron mei bhi ho shaamil
zindagi ka hai ye maqsad hai humari manzil
Jaan apni hai nisaar, zindagi tujhpe fida
Maut jab aaye hume, lab pe hogi ye sada

(Labbayk ya maula ya maula ya maula) x4

*Al-ajal ya Mahdi*
9. momino ke liye to farshe aza hai jannat
kabhi na kehna azadari ko hargiz bid'at
Rona Shabbir pe hai pyaare Nabi ki sunnat
munkire shah kyun karte hain aza se nafrat
haa(n) tejani dile zahra ki dua hai girya
akhri saans talak pardhte rahenge nawha
Jaan apni hai nisaar, zindagi tujhpe fida
Maut jab aaye hume, lab pe hogi ye sada

(Labbayk ya maula ya maula ya maula) x4