Write-Up
_ _

Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani



1. Mere Baba The Khuld Ke Malik, Jiske Darpar Quran Utra Tha Uski Poshaak Ayi Jannat Se, Unke Sadqe Se Ye Jahaan Bana Mushkilein Jab Pari Thi Fitrus Par, Uska Zamin Bana Mera Baba



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani

2. Meri Dadi Thi Fatema Zahra, Asl Mei Jo Thi Ayat-E-Tatheer Mera Dada Tha Haider-E-Karrar, Hai Bari Jinki Deen Mei Tauqeer Mera Bhayi Ka Tha Yahi Paikar, Wo Tha Bilkul Rasool Ki Tasweer



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani

3. Eik Din Gar Se Ham Huwe Rukhsat, Raah Mei Ik Muzahimat Ayi Ponche Ham Karbala Ke Maydaa(N) Mei, Saathwi Din Se Band Tha Pani Zalimo(N) Sab Jama Huwe Ban Mei, Jang Ki Kar Rahe The Tayyar



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani



4. Nikla Ashur Yawm Ka Suraj, Chamki Zalim Ki Fauj Ki Talwaar Haye Qasim Ka Tan Huwe Tukre, Mere Akbar Ka Tha Kaleja Paar Mere Asghar Ki Chidgayi Garden, Khun Ko Arz Ne Kiya Inkaar



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani

5. Pyaas Meri Bujhane Ko Ammu, Nikle Mashkiza Aur Alam Lekar Mashk Ko Bhar Ke Laut Aata Tha, Par In Ankho(N) Ne Dekha Ye Manzar Dono Bazu Kate Baha Pani, Aur Na Aya Kabhi Bin-E-Haider



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani



6. Mene Asghar Ke Baad Ye Dekha, Baba Maydaa(N) Mei Rehgaye Tanha Unpe Har Ik Taraf Se Tha Hamla, Tan To Zakhmo(N) Se Choor Choor Huwa Shimr Seene Pe Beyth Ke Apna, Kund Khanjar Se Kaata Pyaasa Gala



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani



7. Socho Kya Gham Guzarta Tha Dil Mei, Shimr Ne Jab Kiya Sitam Mujhpar Khayme Mei Aake Meri Godi Mei, Phenka Pyaare Mere Padar Ka Sar Khenchkar Mujhko Mere Baalo(N) Se, Zor Se Cheena Kaano(N) Se Gohar



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani



8. Ham Gharibo(N) Pe Kaisi Raat Ayi, Jhalgaye Khayme Chingayi Chadar Dhundti Thi Mei Ran Mei Baba Ko, Is Andhere Mei Haaye Rorokar Eik Laashe Se Ye Sada Ayi, Awo Soja Sakina Sine Par



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani



9. Gyarwi Subh Ham Huwe Rukhsat, Dhoop Sar Pe Thi Mei Rasan Basta Pusht Par Taziyanei(N) Lagte The, Aur Kanto(N) Se Tha Bhara Rasta Haath Mei Leke Aag Ke Patthar, Hampe Barsa Rahe The Sab Aada



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani



10. Mujhko Darbar Mei Huwa Maloom, Kis Qadar Thi Hamari Majboori Eik Be Sharm O Be Haya Zalim, Ki Thi Khwahish Meri Kaneezi Ki Sab Nigahei(N) Thi Haaye Abid Par, Par Na Kuch Kar Saka Mera Bhayi



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani



11. Baad-E-Darbaar Ham Chale Zindaan, Na Thi Chat Aur Na Tha Koi Saya Din Mei Sar Pe Thi Dhoop Ki Shiddat, Aur Shab Ka Andhera Tha Thanda Mei Nahi So Saki Thi Ay Logo, Jabse Bichra Tha Baap Ka Sina



Mere Zawwaro(N), Ake Suno Tum, Meri Kahani



12. Ay “Tejani” Wohi Sakina Jo, Na Kabhi So Saki Thi Zindaa(N) Mei Eik Raat Usko Aisi Neend Ayi, Usko Na Koi Bhi Jaga Paayei(N) Tha Jo Majboor Qayd Mei Abid, Apne Haatho(N) Se Usko Dafnayei(N)