Write-Up
Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai

1. Shabbir ki kamar ko
Haaye jhuka raha hai

Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai

2. Ye alam hussainiat ki pehchan hai karata
Ye hi yazidiyat ki hai farq ko batata
Koi choomta hai akar
Koyi jhala raha hai

Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai

3. Jazba ali ka tune istarha se dikhaya
Lakhon ke samne tune sar ko na jukaya
Abbas apne khun se
Maqtal saja raha hai

Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai

4. Bardash kar na paya bachon ki wo sadaein
Thi bas yahi tamanna, khaymo mei paani layein
Mashkiza bazuwon ke,
badle bacha raha hai

Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai


5. Jese alam gira tha, wese giri sakina
Pani mei zindagi bhar mangungi ab kabhi na
Ab pani ka tasawwur
mujhko rula raha hai

Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai

6. Bazu to katt chuke hai, kaise sambhal sakenga
Gore ke zeen se ab, kistarha se girenga
Abbas apni mu(n) pe
reyti pe aa raha hai

Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai

7. Duniya ne nahi dekhi, kabhi aysi wafdari
Betegh larke jiska sar se hai khun jaari
Shabbir ke liye wo,
bazu kata raha hai

Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai

8. Kitni ajeeb hai ye, ghazi teri kahani
Darya ko kabza kar ke, lab pe na laya pani
Abbas tumse baqi
naam-e-wafa raha hai

Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai
9. Ankhei(n) taras rahi hai, puri karo ye haajat
Hamko bulawo ghazi, aake kare ziyarat
Ham door hai ye apne
Dil ko sata raha hai

Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai

10. Kya martaba hai tera socho zara Tejani
paani na laya lab par, lekin abhi bhi paani
Ghazi tumhare peron
Ko dhundta raha hai

Abbas alam tera, maqtal se aaraha hai