Write-Up
Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



1. Khutbe Ko Shuru Mei Karti Hu(N), Karke Mei Hamd-E-Rabb-E-Jali. Tum Takht Pe Bethe Ho Ay Yazid, Aur Saamne Hai Ham Sab Qaydi

Kya Sochte Ho Tum Ay Zalim, Ke Marzi-E-Rab Tumne Paali Tum Fatha-Mand Nahi
Dekho, Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



2. Mei Kon Hun Tumhare Age, Tumko Batlati Hun Mei Abhi Mei Paak Hun Dukhtar Zahra Ki, Mei Jaane Nabi Aur Binte Ali, Mei Dono Jahaan Ki Malka Hun, Lekin Me Hun Ab Pardesi

Khamosh Ho Kyun, Kuchh To Bolo, Mei Zainab Hun Mujhe Pehchano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



3. Apni Aurat Hai Parde Mai, Aur Ale Nabi Hai Bechadar

Binte Zahra Ko Istarha, Darbar Mei Laye Ho Kyun Kar

Paband-E-Rasan Aur Beparda, Hum Sabko Piraye Ho Dar Dar Kya Sharm Nahi Ati
Tumko, Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



4. Duniya Ab Dekhengi Ay Yazid, Ab Teri Aur Meri Aukat

Jinnat Malaik Aur Insaan, Humse Lete Hain Rahe Najat

Tu Ek Besharm Sharabi Hai, Tejme Hai Mila Shitan Ki Zaat Saare Shaami Ab Jag
Utho, Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



5. Besharm Hai Tera Gar Jisne, Allah Ka Ghazab Jo Paaya Hai Tu Uska Pota Hai Jisne, Shuhadaa Ke Jigar Ko Chabaaya Hai Nana Ki Fath-E-Jang-E-Badr,Tumhara Qalb Jhalaya Hai

Has Has Ke Na Itna Khush Howo, Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano

6. Noke Neza Pe Charhaya Sar, Jo Ruhe Ali Hai Jaane Batool Wo Sar Ko Chardi Se Marte Ho, Jisko Bose Dete The Rasool Har Eik Hi Zarb Se Khulte Hai, Is Qalb Mei Phir Zakhmo(N) Ke Phool Is Pyaase Gharib Ko Na Maaro, Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano

7. Jo Chahta Tha Tune Wo Kiya, Leykin Tujhko Ye Yaad Rahe Ik Din Ahmed Ke Aage Tu, Ayenga Sar Ko Jhukaye Huwe Lab Pe Ye Dua Hogi Teri, Ay Kash Ye Bazu Kat Jaate Aal-E-Imran Zara Parhlo, Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



8. Badle Ke Liye Rab Kafi Hai, Jibreel Hamare Yawar Hai

Dil Hai Tera Shaitaan Ka Gar, Aur Qalb Tumhara Patthar Hai Tu Hoga Fana Is Ki
Khatir, Khu(N) Paak Tere Haatho(N) Par Hai Tum Kuch Nahi Kar Sakte Mujhko, Mei
Zainab Hu Mujhe Pehchaano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



9. Hai Kitna Ajab Be Jurmo(N) Ko, Azaad Ghulamo(N) Ne Mare Karbal Ki Jhalti Reyti Par, Haaye Bekafan Laashei(N) Hai Pare Gar Ye Hai Tumhari Fatha Yazid, Inka Hi Sila Dena Hai Tujhe Tu Apna Takabbur Ko Roko, Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



10. Hai Humko Bharosa Allah Par, Allah Ki Rahmat Hai Ham Par Ye Abru Milsakti Hi Nahi, Tumko To Kabhi Hamse Barh Kar Jannat To Hamari Hai Qismat, Taqdeer Tumhari Hai Ye Samar Aane Ko Tabahi Hai Tumko, Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



11. Khamosh “Tejani” Tha Darbaar, Zainab Ne Kiya Khutbe Ko Tamaam Kuch Bol Na Paya Tha Zalim, Aur Iske Sabab Tha Ye Anjaam Zalim Ki Hukumat Toot Gayi, Zainab Ne Bachaaya Tha Islam Haider Jo Bani Kehke Sabko, Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano



Ay Logo Suno, Zara Sharm Karo

Mei Zainab Hu Mujhe Pehchaano