Write-Up
Ya Ghazi
Main nokar, haan main nokar, Mola Ghazi ka
Alam merey murshid Ghazi ka
Main nokar, haan main nokar x2, Mola Ghazi ka
Zainab ki paak dua ban kar, Ab ghar ghar par lehraata hai
Alam merey murshid Ghazi ka
Main nokar, haan main nokar x2, Mola Ghazi ka
Alam merey murshid Ghazi ka
1) Tera Mola Ghazi kya kehna, terey dar ki nokri kya kehna
Teri karam nawaazi kya kehna, tere naam ki haazri kya kehna
Jahan dastarkhwaan yeh sajta hai x2 Us ghar ki shaan barhata hai
2) Main ghum se jab ghabraata hoon, to paas alam ke jaata hoon
Ro ro ke Mola Ghazi ko, main dil ka haal sunaata hoon
Merey sar par saaya karta hai x2 Meri himmat aur barhaata hai
3) Abbas karam farmaao na, kabhi mojza yeh dikhlaao na
Merey ghar bhi saja hai tera alam, kabhi merey ghar bhi aao na
Sarkaar merey ghar aayenge x2 Merey dil ki aas banaata hai
4) Yeh parcham amman ka naara hai, yeh parcham paak sahara hai
Tu pyaar karey to tera hai, main pyaar karu to mera hai
Jo is ke deep jalaata hai x2 Yeh uske bhaag jagaata hai
5) Zawwaar jo ghar se chalta hai, yeh us par saaya karta hai
Ghar se ghar tak pohchaane ki, Abbas zamaanat deta hai
Laankhon zawwaar jo chaltey hain x2 Unhein Karbobala pohnchaata hai
6) Haan mashk o alam se yaad aayi, pyaas Asghar aur Sakina ki
Mazloom Hussain ki tanhaayi, Zainab baazaar mein kyu aayi
Jab paak alam yeh uthta hai x2 Har manzar yaad dilaata hai
7) Jab aath Muharram aati hai, Ghazi ki yaad dilaati hai
Jawwad o Sarwar yeh dunya, Abbas ka sog manaati hai
Us waqt juloos e matam mein x2 Har matamdaar uthaata hai