Write-Up
Aa Ali Asghar aa
Aa Asghar bin terey, main chain kahan se paaoon
Aa laut ke aaja laal terey, jee bhar ke naaz uthaaoon
1) Meri aankh ka taara hai tu, mujhko jaan se pyaara hai
Maa dukhyaari ke jeeney ka, tu hi laal sahara hai
Tujhe chor ke tanha maqtal mein, main kaise shaam ko jaaoon
2) Teri wo masoom adaayein, teri yaad dilaati hain
Terey pyaar ki wo sab baatein, mujh ko bohot rulaati hai
Main teri judayi mein beta, ro ro ke mar na jaaoon
3) Loriyon waaley yeh to terey, naaz uthaane ke din they
Aankhon mein teri khushiyon ke, khwaab sajaane ke din they
Aa laut ke Asghar aa beta, tera kurta main badlaaoon
4) Bhool nahin sakti maa Asghar, pyaase hont terey beta
Khaali goud hai aur zindaa(n) hai, aaja maa ke paas aaja
Aa nanne mujaahid main teri, ashkon se pyaas bujhaaoon
5) Kitni hai be chain Sakina, terey naaz uthaane ko
Subh o shaam tarasti hai wo, tera dil behlaane ko
Teri laadli behen Sakina ka, main dil kaise behlaaoon
Aa Asghar bin terey, main chain kahan se paaoon
Aa Ali Asghar aa